Thursday, 31 January 2013

Ye ankh ronay ki shidat se lal thori e ha






Ye ankh ronay ki shidat se lal thori e ha
Malal ha mager itna malal thori ha,
bs apny wasty hi fikr mand hain sab log,
yahan kisi ko kisi ka khayal thori ha,
paroon ko kat dia ha uraan se pehl,
ye khaouf e hijr ha, shaouq e wisal thori ha,
maza to tab ha jo har k bhi hansty raho,
hamesha jeet hi jana kamal thori ha,

Wednesday, 30 January 2013

A'aqal a'ayyar hai, sau bheis bana leiti hai


A'aqal a'ayyar hai, sau bheis bana leiti hai
Ishq bay chara na mullah na zahid na hakeem

Aghaz-E-Ishq Jab Tera Anjaam Aay Ga



Aghaz-E-Ishq Jab Tera Anjaam Aay Ga
Kia Kia Na Apni Zaat Par Ilzaam Aay Ga

Kesi Aziyaton Se Guzar Jaay Ga Ye Dil
Kis Dukh Se Mere Lub Pay Tera Naam Aay Ga

Jaa Tho Raha Hai Dil Tere Iqraar Ki Taraf
Main Jaanta Hoon Lout Key Na-Kaam Aay Ga

Honton Ka Lamas De Key Mujeh Os Ny Ye Kaha
Lay Jaa Ise’ Safar Mein Tere Kaam Aay Ga

Jub Mustjaab Hoga Duaon Ka Silsila
Ik Aur Dasht-E-Hijr Mere Naam Aay Ga
!

girl wallpaper

hum bhe haiN teray humsafar

hum bhe haiN teray humsafar




hum bhe haiN teray humsafar
hum se bhe koi baat kar
hum tu teray rafeeq haiN
hum se na ejtnaab kar
dasht-e-firaq-e-yaar maiN
azlooN k humrakab suN
hijar k mahtaab suN
bakhat maiN jab chai’N na ho
waqat se kia gilaa karaN
us se kahaN mila karaN
raah maiN us ko rook laiN
kesay ye hosla karaN
tu to hamaray saath chal
tu to hamaray khavab suN
hijar k mahtaab suN
taarooN maiN intshaar hai
kis ki nigha k sabab
apni he chaah k sabab
hum ne jisay ganwa dee’ya
shidat-e-rah k sabab
us k gham-e-firaaq ka
hum se kabhi hisaab suN
hijar k mahtaab suN


Wo bi udaas wahan mein bi bechain hon....



Wo bi udaas wahan mein bi bechain hon....

Kash ham mashwara kartay mohabbat karnay say pehlay.
...



sunni sunai baat nahe hai,,khud pe beta kissa hai

sunni sunai baat nahe hai,,khud pe beta kissa hai
phool se sholy nikalty hai,chahat aag lagey to


Wo Jo Aik Shakhs Mataa-e-Dil-o-Jaan Tha, Na Raha...!!

Wo Jo Aik Shakhs Mataa-e-Dil-o-Jaan Tha, Na Raha...!!

Ab Bhala Kon Mere Dard Sambhaaly “Mohsin"...!


Ishq Se Pooch Husn Ka Rutba,

Ishq Se Pooch Husn Ka Rutba,
Husn Parwardigaar Hota Hai


Koi Hai Hamare Jaisa Shaher Mein

Koi Hai Hamare Jaisa Shaher Mein,
Jo Utha Ke Khwab Ki Kirchiyan,
Yunhi Darbadar Se Phira Kare,
Na Dua Kare Na Dawa Kare,
Na Kabhi To Us Ka Pata Kare,
Jo Qarar Tha Dil-E-Zar Ka,
Jo Nazar Nazar Ki Talab Mein Tha,
Faqat Ek Khwab Jo Shab Mein Tha,
Jise Dhundna Tha Hujum Mein,
Jo Nahi Tha Apne Nujuum Mein,
Kisi Aasman Ka Chand Tha,
Jo Tha Dastaras Se Kahin Pare,
Usi Ek Shakhs Ke Waste,
Yunhi Sheher Sheher Phira Kare,
Har Ek Ajnabi Ko Taka Kare,
Na Dua Kare Na Dawa Kare,
Jo Utha Ke Khwab Ki Kirchiyan,
Yunhi Darbadar Sa Phira Kare,
 
Koi Hai Hamare Jaisa Sheher Mein...



Aisi udais baithy hai dill pe

Aisi udais baithy hai dill pe
hansany se ghabra rahy hain 


VasaL Ki Pehli Shab,

VasaL Ki Pehli Shab,
Aur Unka Naaz Se Kehna....!
Sach Batao, Kya Karo Ge?
Shama Bujh Jane Ke Baad...!