Tuesday, 5 February 2013

Tarash Kar Mere Bazoo Uraan Chor Gaya

 
 
Tarash Kar Mere Bazoo Uraan Chor Gaya
Hawa Ke Paas Barhana Kaman Chor Gaya

Rafaqton Ka Meri Us Ko Dehaan Kitna Tha
Zameen Ley Li Magaer Aasmaan Chor Gaya

Ajeeb Shakhs Tha, Barish Ka Rang Dekh Ke Bhi
Khule Dareeche Pe Ik Phool_Dan Chorr Gaya

Jo Badloon Se Bhi Mujh Ko Chupaye Rakhta Tha
Barhi Hai Dhoop To Be_Saibaan Chor Gaya

Nikal Gaya Kahin An_Dekhe Paniyon Ki Taraf
Zameen Ke Naam Khula Badbaan Chor Gaya

Uqaab Ko Thi Gharz Fakhta Pakarne Se
Jo Gir Gai To Yunhi Neem Jaan Chor Gaya

Najane Kon Sa Aasaib Dil Mein Basta Hai
Ke Jo Bhi Thera Wo Aakhir Makaan Chor Gaya

Aqab Me Gehra Samandar Hai, Saamne Jangal
Kis Inteha Pe Mera Meharban Chor Gaya….

Jo Qismat Mein Na Ho Us Ka Gila Nahi Karte

 
 
Jo Qismat Mein Na Ho Us Ka Gila Nahi Karte
Kuch Log To Mil Kar Bhi Mila Nahi Karte
Suna Hai Rooz Rooz Milne Se Mohabbat Kam Hoti Hai
Ye Soch Kar Hum Us Se Mila Nahi Karte
Aye Dil Tu Un Se Milne Ki Umeed Kion Karta Hai
Kuch Log To Umer Bhar Mila Nahi Karta
Wese To Aata Hai Har Shajar Pe Bahar Ka Mausam
Phi bhi Har Shaakh Pe Phool Khila Nahi Karte
Jab Wo Mila Tha To Us Se Rooh Ka Naata Jora Tha
Jab Rooh Sath Chor Jaye To Insaan Mila Nahi Karte..

Us Se Milne Ko Kabhi Hum Jo Machal Jate Hain

 
 
 Us Se Milne Ko Kabhi Hum Jo Machal Jate Hain
To Khayalon Mein Bohat Door Nikal Jate Hain 
 
Gar Mohabbat Mein Sadaqat Bhi Ho, Shiddat Bhi
Phir To Ehsaas Hai Pather Bhi Pighel Jate Hain 
 
Us Ki Aankhon Ke Nashe Mein Hon Jab Se Dooba
Larkharate Hain Qadam Sanbhal Jate Hain 
   
Bewafa Ka Jab Bhi Mujhe Khayal Aata Hai
Ashk-E-Aankhon Se Rukhsaar Bhi Pighel Jate Hain 
 
Piyar Mein Aik Hi Mausam Hai Baharon Ka ‘Faraz’
Loog Mausam Ki Tarhan Kese Badal Jate Hain

Kahon Kis Tarhan Naya Saal Hai






Wo Jo Haal Tha Wohi Haal Hai, Kahon Kis Tarhan Naya Saal Hai
Wohi Zindagi Ke Wabaal Hai, Kahon Kis Tarhan Naya Saal Hai
Wohi Be Yaqeeni Hai Ku-Ba-Ku, Wohi Na Umeedi Hai Char Su,   
Jo Bhi Hai Sarapa Sawal Hai, Kahon Kis Tarhan Naya Saal Hai
Wohi Dast-O-Paa Wohi Chashm-o-lab Jo Gehan Mein The, Wo Gehan Mein Hain
Wohi Husn Jis Pe Zawaal Hai, Kahon Kis Tarhan Naya Saal Hai
Wohi Inteshaar Ki Zindagi Hai, Wohi Ghubar Si Zindagi Hai,
Wohi Saans Lena Mohaal Hai, Kahon Kis Tarhan Naya Saal Hai
Wohi Phool Phool Pe Titliyan Hain, Dari Hui Ke Mari Hui
Wohi Be Hisi Jo Kamal Hai, Kahon Kis Tarhan Naya Saal Hai
Wohi Khuwab Hain Ke Azaab Hain, Wohi Rooz-O-Shab Ke Sarab Hain,
Wohi Gardish-E-Meh-O-Saal Hai, Kahon Kis Tarhan Naya Saal Ha