Friday 2 May 2014

"Muntazir thy Hum Apny Bari ke

"Muntazir thy Hum Apny Bari ke
Or Khary Thy Katar Se Bahar.!!

Suna Hai Log Use Aankh Bhar Ke Daikhte Hain

Suna Hai Log Use Aankh Bhar Ke Daikhte Hain
So Uss Ke Shehar Main Kuch Din Thehar Ke Daikhte Hain

Suna Hai Rabt Hai Uss Ko Kharaab Haalon Se
So Apne Aap Ko Barbaad Kar Ke Daikhte Hain

Suna Hai Dard Ki Gaahak Hai Chashm E Naaz Uss Ki
So Ham Bhi Uss Ki Gali Se Guzar Ke Daikhte Hain

Suna Hai Uss Ko Bhi Hai Shair O Shairi Se Shughaf
So Ham Bhi Mo'jaze Apne Hunar Ke Daikhte Hain

Suna Hai Bole To Baaton Se Phool Jhadte Hain
Yeh Baat Hai To Chalo Baat Kar Ke Daikhte Hain

Suna Hai Raat Usse Chand Takta Rehta Hai
Sitare Baam E Falak Se Utar Ke Daikhte Hain

Suna Hai Din Ko Usse Titliyaan Satati Hain
Suna Hai Raat Ko Jugnoo Guzar Ke Daikhte Hain

Suna Hai Hashr Hain Uss Ki Ghazaal Si Aankhain
Suna Hai Uss Ko Hiran Dasht Bhar Ke Daikhte Hain

Suna Hai Raat Se Badh Kar Hain Kaakulain Uss Ki
Suna Hai Shaam Ko Saae Guzar Ke Daikhte Hain

Siyaah Chashm To Daikhe Hain Par Na Aise Bhi
Ke Uss Ko Surma Farosh, Aah Bhar Ke Daikhte Hain

Suna Hai Uss Ke Labon Se Gulaab Jalte Hain
So Ham Bahaar Pe Ilzaam Dhar Ke Daikhte Hain

Suna Hai ,Aa'i'na Tamsaal Hai Jabeen Uss Ki
Jo Saada Dil Hain Usse Ban Sanvar Ke Daikhte Hain

Suna Hai Jab Se Hama'il Hain Uss Ki Gardan Main
Mizaj Aur Hi Laal O Guhar Ke Daikhte Hain

Suna Hai Chashm E Tasavvur Se Dasht-E-Imkaan Main
Palang Zaviye Uss Ki Kamar Ke Daikhte Hain

Suna Hai Uss Ke Badan Ki Taraash Aisi Hai
Ke Phool Apni Qaba'ain Katar Ke Daikhte Hain

Voh Sarv Qad Hai Magar Be-Gul-E-Muraad Nahin
Ke Uss Shajar Pe Shagoofe Samar Ke Daikhte Hain

Nazar Uththe To Yeh Samjho Ke Deen O Dil To Gae
So Rahravaan-E-Tamanna Bhi Dar Ke Daikhte Hain

Suna Hai Uss Ke Shabistan Se Mut'tasil Hai Bahisht
Makeen Udhar Ke Bhi Jalve Idhar Ke Daikhte Hain

Ruke To Gardishain Uss Ka Tavaaf Karti Hain
Chale To Uss Ko Zamane Thehar Ke Daikhte Hain

Kise Naseeb Ke Be-Pairahan Use Daikhe
Kabhi Kabhi Dar O Deevaar Ghar Ke Daikhte Hain

Kahaniyaan Hi Sahi ,Sab Mubalighe Hi Sahi
Agar Voh Khavaab Hai ,Tabeer Kar Ke Daikhte Hain

Ab Uss Ke Shehr Main Tehrain Ke Kooch Kar Jaaen
Faraz Aao Sitare Safar Ke Daikhte Hain

Jis Simt Bhi Dekhoon, Nazar Aata Hai Keh Tum Ho

 Jis Simt Bhi Dekhoon, Nazar Aata Hai Keh Tum Ho
Aie Jaan-E-Jahaan Yeh Koi Saaya Hai Keh Tum Ho

Yeh Khuwaab Hai, Khushboo Hai, Ke Jhonka Hai, Ke Pal Hai
Yeh Dhund Hai, Baadal Hai, Ke Saaya Hai, Keh Tum Ho

Is Deed Ki Saa'at Main Kayee Rung Hain Larzaan
Main Hoon Ke Koi Aur Hai, Duniya Hai, Keh Tum Ho

Dekho Yeh Kisi Aur Ki Aankhen Hain Ke Meri
Dekhoon Yeh Kisi Aur Ka Chehra Hai Keh Tum Ho

Yeh Umr Garezaan Kahin Theray To Yeh Jaanoon
Her Saans Mein Mujh Ko Yehi Lagtaa Hai Keh Tum Ho

Her Bazm Mein Mozoo-E-Sukhan Dil-E-Zadgaan Ka
Ab Kaun Hai Sheereen Keh Laila Hai Keh Tum Ho

Ek Dard Ka Phaila Hua Sehra Hai Ke Main Hoon
Ek Mauj Mein Aaya Hua Darya Hai Keh Tum Ho

Woh Waqt Na Aaye Ke Dil-E-Zaar Bhi Sochay
Is Shehr Mein Tanha Koi Tum Sa Hai Keh Tum Ho

Aabaad Hum Aashufta Saron Se Nahin Maqtal
Yeh Rasm Abhi Shehr Mein Zinda Hai Keh Tum Ho

Aie Jaan-E-Faraaz Itni Bhi Taufeeq Kise Thee
Hum Ko Ghame Hasti Bhi Gawaraah Hai Keh Tum Ho


Yeh Tabi'aat Hai To Khud Aazaar Ban Jaayen Ge Ham

Yeh Tabi'aat Hai To  Khud Aazaar Ban Jaayen Ge Ham
Chaaragar Royein Ge Aur Gham Khwaar Ban Jaayen Ge Ham

Ham Sar-E-Chaak-E-Wafaa Hain Aur Tira Dast-E-Hunar
Jo Bana De Ga Hamein Aie Yaar, Ban Jaayen Ge Ham

Kya Khabar Thi Aie Nigaar-E-She'r, Tere Ishq Mein
Dilbaraan-E-Sheh'r Ke Dildaar Ban Jaayen Ge Ham

Sakht Jaan Hain Par Hamaari Ust'vaari Par Na Ja
Aise Tootenge, Tira Iqraar Ban Jaayen Ge Ham

Aur Kuchh Din Baithne Do Ku-E-Jaanaan Mein Hamein
Raftaa Raftaa Saaya-E-Deewar Ban Jaayen Ge Ham

Is Qad'r Aasaan Na Hogi Har Kisi Se Dosti
Aashnaa'i Mein Tira May'aar Ban Jaayein Ge Ham

Meer-O-Ghalib Kya Keh Ban Paaye Naheen Faiz-O-Firaaq
Za'm Ye Tha Roomi-O-Ataar Ban Jaayein Ge Ham

Dekhne Mein Shaakh-E-Gul Lagte Hain Lekin Dekhnaa
Dast-E-Gulcheen Ke Liye Talwaar Ban Jaayein Ge Ham

Ham Chiraagon Ko To Taa'reeki Se Larhnaa Hai Faraaz
Gul Huay Par Subah Ke Aasaar Ban Jaayein Ge Ham


Mustaqil Mehroomiyon Par Bhi To Dil Maana Naheen

Mustaqil Mehroomiyon Par Bhi To Dil Maana Naheen
Laakh Samjhaaya Ke ,Us Mehfil Main Ab Jana Naheen

Khud Farebi Hi Sahi ,Kiya Kijiye Dil Ka Ilaaj
Too Nazar Phaire To Ham Samjhain Ke Pehchana Naheen

Aik Duniya Muntazir Hai Aur Teri Bazm Main
Iss Tarha Bethai Hain Ham Jese Kaheen Jana Naheen

Ji Main Jo Aati Hai Kar Guzro ,Kaheen Aisaa Na Ho
Kal Pashemaan Hon Ke Kiyoon Dil Ka Kahaa Mana Naheen

Zindagi Par Iss Se Barh Ke Tanz Kiyaa Hoga Faraaz

Uss Ka Yeh Kehna Ke Too Sha'ir Hai Deevana Naheen

Tere Hote Hue Mehfil Main Jalaate Hain Chiraagh

Tere Hote Hue Mehfil Main Jalaate Hain Chiraagh
Log Kya Saada Hain Suraj Ko Dikhaate Hain Chiraagh

Apni Mehrumiyon Ke Ahsaas Par Sharminda Hain
Khud Naheen Rakhte To Auron Ke Bujhaate Hain Chiraagh

Bastiyaan Chaand Sitaaron Pe Basaane Walo
Kurrah-E-Arz Pe Bujhye Jaate Hain Chiraagh

Kya Khabar Hai Unko Ke Daaman Bhi Bhadak Uthte Hain
Jo Zamaane Ki Hawaaon Se Bachaate Hain Chiraagh

Aisi Taarikiyaan Aankhon Mein Basi Hai Faraaz

Raat To Raat Hai, Hum Din Ko Jalaate Hain Chiraagh

Juz Tere Koi Bhi Din Raat Na Jaane Mere

Juz Tere Koi Bhi Din Raat Na Jaane Mere
Tu Kahaan Hai Magar Aie Dost Puraane Mere

Aaj Ek Aur Baras Beet Gaya Uske Baghair
Jiske Hote Hue Hote The Zamaane Mere

Kaash Auron Ki Tarah Main Bhi Kabhi Keh Sakta
Baat Sun Li Hai Meri Aaj Khuda Ne Mere

Charah-Gar Yun To Bohat Hain Magar Aie Jaan-E-Faraaz
Juz Tere Aur Koi Zakh'm Na Jaane Mere


Main Aur Tu

Roz Jab Dhoop Pahadon Say Utarnay Lagti
Koi Ghat'ta Hua Badhata Hua Bekal Saaya

Aik Deewar Se Kehta Keh Merey Saath Chalo
Aur Zanjeer-E-Rafaqat Se Gurezaan Deewar

Apnay Pindaar Ke Nashe Main Sada Eistaada
Khuwahish-E-Humdam-Dairina Pe Hans Deti Thi

Kaun Deewar Kissi Saaye Ke Hamaraah Chali
Kaun Deewar Hamaisha Magar Eistaada Rahi

Waqt Deewar Ka Saathi Hai Na Saaye Ka Rafeeq
Aur Ab Sang-O-Gil-O-Khisht Kay Malbay Ke Tale

Usi Deewar Ka Pindar Hai Rezah, Rezah
Dhoop Nikli Hai Magar Jane Kehaan Hai Saaya

Is Qadar Musalsal Thi Shiddatein Judaai Ki

Is Qadar Musalsal Thi Shiddatein Judaai Ki
Aaj Pehli Baar Main Ne Us Se Bewafaai Ki

Warna Ab Talak To Yun Tha Khawihshon Ki Baarish Main
Ya To Toot Kar Roya Ya Ghazal Saraai Ki

Tanz, Tana, Tohmat Sab Teer Hain Waiz Kay
Aap Say Koi Poochay Hum Nay Kya Buraai Ki

Hum Ne Teri Chahat Main Taj Diya Tha Jin Jin Ko
Aaj Phir Main Ne Un Se Taaza Aashnai Ki

Dukh Hua Jab Us Dar Per Kal Faraz Ko Daikha
Laakh Aib The Us Main , Khu Na Thi Gadaai Ki


Hum Bhi Sha'air The Kabhi Jaan-E-Shukhan Yaad Naheen

 Hum Bhi Sha'air The Kabhi Jaan-E-Shukhan Yaad Naheen
Tujh Ko Bhulein Hain To Dildaari-E-Fan Yaad Naheen

Aqal Ke Shehar Main Aaya Hai To Yun Gum Hai Junoon
Lab-E-Goya Ko Bhi Besaakhta-Pan Yaad Naheen

Waqt Kiss Dasht-Faramoshi Main Le Aaya Hai
Ab Tera Naam Bhi Khakum-B-Dahan Yaad Naheen

Har Koi Navak, Tarkash Ki Dukaan Poochta Hai

Kissi Gahak Ko Magar Apna Badan Yaad Naheen

Baat Kar Tujh Pe Gumaan Hone Lagaa Tasveer Kaa

 Baat Kar Tujh Pe Gumaan Hone Lagaa Tasveer Kaa
Muntazir Kab Se Hai Zamaana Teri Taqreer Kaa

Raat Kyaa Soye Ki Baaqi Um'r Ki Neend Urh Gai
Khwaab Kya Dekha Ki Dharhka Lag Gaya T'abeer Kaa

Kaise Paayaa Tha Tujhe Kis Tarah Khoya Tujhe
Mujh Saa Munkir Bhi To Qaayal Ho Gaya Taqdeer Kaa

Jaane Kis Aalam Men Tun Bichhraa Hai Ki Tere Bagair
Aaj Tak Har Naqsh Fariyaadi Hai Meri Tehrir Kaa

Jis Ko Bhi Chaahaa Barhi Shiddat Se Chaahaa Hai Faraz

Silsilaa Tuutaa Naheen Hai Dard Ki Zanjir Kaa

Sannate Ki Jheel

 Tujh Se Bichad Kar Bhi Zinda Tha
Mar Mar Ke Zehar Piya Hai

Chup Rehna Aasaan Nahi Tha
Barson Dil Ka Khun Kiya Hai

Apne Haal Pe Khud Roya Hun
Khud Hi Dil Ka Chaak Siya Hai

Jo Kuch Guzri, Jaisi Guzri
Tujh Ko Kab Ilzaam Diya Hai

Kitni Jaankahi Se Main Ne
Tujh Ko Is Dil Se Mehav Kiya Hai

Sannaate Ki Jheel Mein Tu Ne

Phir Kyun Paththar Phenk Diya Hai

Ranjish Hi Sahi

 Ranjish Hi Sahi, Dil Hi Dukhaane Ke Liye Aa
Aa Phir Se Mujhe Chod Ke Jaane Ke Liye Aa

Phele Se Maraasim Na Sahi, Phir Bhi Kabhi To
Rasm-O-Rahe Duniya Hi Ninbhaane Ke Liye Aa

Kis Kis Ko Bataayenge Judaai Ka Sabab Hum
Tu Mujh Se Khafa Hai To Zamaane Ke Liye Aa

Ab Tak Dil-E-Khush Faham Ko Hai Tujh Se Umeedein
Yeh Aakhri Shame Bhi Bhujaane Ke Liye Aa

Kuch To Mere Pindar-E Mohabbat Ka Bharm Rakh
Tu Bhi To Kabhi Mujh Ko Manaane Ke Liye Aa

Ek Umar Se Hun Lazzat-E-Girya Se Bhi Mehroom

Aie Raahat-E-Jaan, Mujh Ko Rulaane Ke Liye Aa

Jaane Kya Maange


Qurbaton Mein Judaai Ke Zamaane Maange
Dil Woh Be-Mehar Hai Keh Rone Ke Bahaane Maange

Hum Na Hote To Kisi Aur Ke Charche Hote
Khalqat-E-Shehar To Kehne Ko Fasaane Maange

Yehi Dil Tha Ke Tarasta Tha Maraasim Ke Liye
Ab Yehi Tark-E-Taa-Aluq Ke Bahaane Maange

Apna Yeh Haal Ke Ji Haar Chuke Lut Bhi Chuke
Aur Mohabbat Wohi Andaaz Puraane Maange

Zindagi Hum Tere Daaghon Se Rahe Sharminda
Aur Tu Hai Ke Sada Aaina-Khaane Maange

Dil Kisi Haal Pe Qaane Nahi Aie Jaan-E-Faraaz

Mil Gaye Tum Bhi, To Kya Aur Na Jaane Maange

Ahmad Faraz Poetry

Nikaala Mujh Ko Jannat Se Fareb-E-Zindagi De Kar
Diya Phir Shauq Jannat Ka, Yeh Hairaani Nahi Jaati
********

Na Tu Khuda Hai, Na Ishq Mera Farishton Jaisa
Dono Insaan Hain To Kyun Itne Hijaabon Me Milen
********

Yun Hi Mausam Ki Ada Dekh Kar Yaad Aaya
Kis Qadar Jald Badal Jaate Hain Insan Janaan
********

Main Hurf Hurf Haqeeqat, Main Warq Warq Sachcha
Magar Shart Hai Mujhe Ghaur Se Padho Janaan
**********

Unko Bhoole Hain To Kuch Aur Preshaan Hai Faraaz
Apni Daanist Mein Dil Ne Bahut Daanai Ki
**********

Aie Dil Apne Masiha Se Bhi Umeed Na Rakh
Woh Tangdil Hai Tere Zakhm Ki Gehraai Bahut
**********

Kathin Hai Raah Guzar Thodi Der Saath Chalo
Bahut Kada Hai Safar Thodi Der Saath Chalo
Tamaam Umar Kahaan Koi Saath Deta Hai
Main Jaanta Hun Magar Thodi Der Saath Chalo
**********

Aa Keh Ab Tasleem Karen Tu Nahi To Main Sahi
Kaun Maanega Keh Ham Donon Mein Be-Wafa Koi Nahi
**********

Ab To Mujh Ko Bhi Nadamat Hai Apni Wafa Pe
Mukhtalif Kitna Zamaane Se Chalan Mera Tha
**********

Firaaq-E-Yaar Qayaamat Se Kam Nahi Faraaz
Na Din Ko Chain Aata Hai Na Raaton Ki Neend Aati Hai
**********

Kisi Be-Wafa Ki Khaatir Yeh Junun Faraaz Kab Tak
Jo Bhula Chuka Hai Tum Ko Use Tum Bhi Bhool Jaao
**********

Aise Jeene Se To Behtar Tha Ke Mar Hi Jaate
Chaarah-Gar Muft Mein Hum Ne Tera Ehsaan Liya
**********

Mujhe Wafa Ki Talab Hai Magar Har Ek Se Nahi
Koi Mile Magar Us Yaar-E-Bewafa Ki Tarha
Woh Ajnabi Tha To Kyun Mujhe Se Pher Kar Aankhe
Guzar Gaya Kisi Daireena Aashna Ki Tarha
**********

Woh Laakh Zood Faraamosh Tha Faraaz Magar
Use Bhi Mujh Ko Bhulaane Mein Ek Zamaana Laga
**********

Yunhi Mausam Ki Ada Dekh Ke Yaad Aaya Hai
Kis Qadar Jald Badal Jaate Hain Insaan Jaanaan
Dil Yeh Kehta Hai Keh Shaayad Ho Afsurda Tu Bhi
Dil Ki Kya Baat Karen Dil To Hai Naadaan Jaanaan
**********

Aie Khuda Jo Bhi Mujhe Pind-E-Shakeebaai De
Us Ki Aankhon Ko Mere Zakhm Ki Gehraai De
Itna Be-Sarfa Naa Jaaye Mere Ghar Ka Jalna
Chasham-E-Girya Na Sahi Chasham-E-Tamashaai De
**********

Samjha Rahe The Mujh Ko Sabhi Naasehaan-E-Shehar
Phir Rafta Rafta Khud Usi Kaafir Ke Ho Gaye
**********

Har Ek To Zaa'um Tha Kis Kis Ko Naakhuda Kehte
Bhala Hua Keh Safeena Kinaare Jaa Na Laga
**********

Kuch Yeh Ke Muddaton Se Ham Bhi Nahi The Roye
Kuch Zehar Mein Bujha Tha Ehbaab Ka Dilaasa
**********

Woh Zindagi Ho Keh Duniya Faraaz Kya Kijiye
Jis Se Ishq Karo Be-Wafa Nikalti Hai
**********

Safar Taweel Sahi Guftagu Maze Ki Rahi
Woh Khush Mizaj Agar Tha To Meer Main Bhi Na Tha
**********

Woh Jis Ghamand Se Bichada Gila To Is Ka Hai
Keh Saari Baat Mohabbat Mein Rakh Rakhaao Ki Thi
**********

Zabt Laazim Hai Magar Dukh Hai Qayaamat Ka Faraaz
Zaalim Ab Ke Bhi Naa Roye Gaa To Mar Jaaye Ga
**********

Bas Itna Farq Hai Yusuf Mein Aur Mujh Mein Faraaz
Keh Us Ko Ghair Mujhe Yaar Bech Dete Hain
**********

Hum Mohabbat Mein Bhi Tauheed Ke Qaayel Hain Faraaz
Ek Hi Shakhs Ko Mehboob Banaaye Rakhna

**********

Na Shab-O-Roz Hii Badlen Hain Na Haal Acchaa Hai
Kis Birahman Nain Kaha Thaa Ki Yeh Saal Accha Hai
**********

Karoon Na Yaad Magar Kis Tarah Bhulaaun Usay
Ghazal Bahaana Karoon Aur Gungunaaun Usay
**********