Friday 13 June 2014

Ankho Mein Koi Khawab Utarne Nahi Deta

Ankho Mein Koi Khawab Utarne Nahi Deta
Ye Dil K Muje Chain Se Marne Nahi Deta

Bicharay To Ajeeb Payar Jatata Hai Khato Mein
Mil Jaye Tu Phir Had Se Guzarne Nahi Deta

Wo Shakas Khiza Rut Mein Bhi Muhtat Rahay Kitna
Sokhay Hoye Pholo Ko Bikharne Nahi Deta

Ik Roz Teri Payas Khariday Ga Wo Ghabro
Pani Tuje Panghat Se Jo Bharne Nahi Deta

Wo Dil Mein Tabasam Ki Kiran Gholne Wala
Rothay To Roto Ko Bhi Sanwarne Nahi Deta

Mein Us Ko Manao K Gham E Dehar Se Uljhon
Mohsin Wo Koi Kaam Bhi Kerne Nahi Deta


Raysham Zulfo Nilam Ankhon Wale Achay Lagte Hein


Raysham Zulfo Nilam Ankhon Wale Achay Lagte Hein
Main Shayer Hon Muje Ujhlay Chehray Achay Lagte Hein
Tum Socho Adhi Raat Ko Thanday Chand Ki Chaon Mein
Tanha Raho Per Hum Dono Kitne Achay Lagte Hein
Akhir Akhir Sachay Qoul Bhe Chubte Hein Dil Walo Ko
Pehle Pehel Payar K Jhote Wade Achay Lagte Hein
Jab Se Wo Perdais Gaya Sheher Ki Ronaq Roth Gai
Ab Tu Apne Ghar K Band Darichay Achay Lagte Hein
Kali Raat Mein Jagmag Kerte Tare Kon Bujhata?
Is Dhulhan Ko Ye Moti Ye Gehne Achay Lagte Hein
Kal Us Rothay Rothay Yaar Ko Dekha Tu Mehsos Howa
Mohsin Ujhle Jism Pay Kale Kapre Achay Lagte Hein

Hawa Ka Lamas Jo Apne Kowarh Kholta Hai

Hawa Ka Lamas Jo Apne Kowarh Kholta Hai
Tu Dair Tak Mere Gar Ka Sakoot Bolta Hai

Hum Ayse Khak Nasheen Kab Labha Sakain Gay Usay
Wo Apna Akas Bhi Mezan E Zar Mein Tolta Hai

Jo Ho Sakay Tu Yahi Raat Urh Lay Tan Per
Buja Charagh Andhere Mein Kiyn Tatolta Hai

Usi Se Mang Lo Kherat Us Kay Khawabo Ki
Wo Jagti Hoi Ankho Mein Nind Golta Hai

Suna Hai Zalzala Ata Hai Arash Per Mohsin
Kay Be Gunah Laho Jab Sana Pay Bolta Hai

Kab Talak Shab K Andhere Mein Sehra Ko Tarse

Kab Talak Shab K Andhere Mein Sehra Ko Tarse
Wo Musafir Jo Bhare Shehar Mein Ghar Ko Tarse
Ankh Thehray Hoye Pani Se Bhi Kaktrati Hai
Dil Wo Rehro Kay Samandar Kay Safar Ko Tarsay
Mujh Ko Us Qahat Kay Mousam Se Bacha Ya Rab Sukhan
Jab Koi Ahl E Hunar Arz E Hunar Ko Tarsay
Ab Kay Is Toor Muslat Howa Andhera Her So
Hijar Ki Raat Mere Dida Tar Ko Tarsay
Umar Itni Tu Ata Ker Mere Fun Ko Khaliq
Mera Dushman Mere Marne Ki Khabar Ko Tarsay
Usko Pa Ker Bhi Usay Dhond Rahi Hein Ankhain
Jese Pani Mein Koi Seep Gohar Ko Tarsay
Na Shanasai Kay Mousam Ka Asar Tu Dekho
Ayina Khal O Khad E Ayina Ko Tarse
Aik Dunia Hai Kay Basti Hai Teri Ankhon Mein
Wo Tu Hum Thay Jo Teri Aik Nazar Ko Tarsay
Shor E Sar Sar Mein Jo Sar Sabaz Rahi Hai Mohsin
Mousam E Gul Mein Wohi Shakh Samar Ko Tarsay

In Dino Shehar Bhar Kay Rasto Mein

In Dino Shehar Bhar Kay Rasto Mein
Jachati Hai Bala Ki Verani !
Akas Dar Akas Dasti Rehti Hai
Be Sada Ayino Ki Herani
Saray Chehro Kay Rang Phekay Hein
Sari Ankhain Ujhar Lagti Hain
Saray Din Ahato Ki Ginti Mein
Sari Ratain Paharh Lagti Hein
Bujhti Jati Hein Yaad Ki Shamain
Apni Palko Se Anson Ki Nagain
Totatay Hein Tu Dil Nahi Chunta
Jese Shakho Se Zard Ro Patay
Totatay Hein Koi Nahi Sunta
Tu Kaha Hai Kaha Nahi Hai Tu?
Bhol Ja Yaad Kiyn Nahi Ata?
Hum Se Kaya Pochna Mizaj E Hayat?
Hum Tu Bus Ek Dareda Daman Hein
Bhar Kay Khasatar E Diyar E Wafa
Lay Kay Sadio Ki Baas Phirte Hein
In Dino Shehar Bhar Kay Rasto Mein
HUm Akele Udas PHirte Hein
Ab Ye Sochain Tu Ankh Bhar Aye
IN Akele Ujar Rasto Mein
Tu Bhi Shayed Kahin Nazar Aye