Wednesday, 13 March 2013

English Poetry


If you need me,

If you need me, call me. I don’t care if I’m sleeping, if I’m having my own problems or if I’m angry at you. If you need me and if you need to talk to me, I’ll always be there for you. no matter how big or small your problem is, I’ll be there.

English Poetry

English Poetry




Mujh Ko Bhi Parh, Kitaab Hun



Quran Islamic Poetry

Mujh Ko Bhi Parh, Kitaab Hun, Mazmoon-e-Khas Hun, 
Maana Tere Nisaab Mein Shamil Nahi Hun Mein….

مجھ کو بھی پڑھ کتاب ہوں مضمون خاص ہوں
مانا کہ تیرے نصاب میں  نہیں ہوں میں 
 

Elaaj-E-Dard-E-D!L,Tum Se Maseehaa Ho Nahi Sakta,


                




Elaaj-E-Dard-E-D!L,Tum Se Maseehaa Ho Nahi Sakta,
Tum Acha Kar Nahi Sakte, Main Acha Ho Nahi Sakta...!!



علاج_درد_دل! تم سے مسیحا ہو نہی سکتا 

تم اچھا کر نہی سکتے، میں اچھا ہو نہی سکتا 


Qasid.! Diyar-e-Yaar Se Laye ho Kuch Khabar..??




Qasid.! Diyar-e-Yaar Se Laye ho Kuch Khabar..??
Eid To Guzarne Ko Hai.! Aur Woh Aaye Nahi…

قاصد! دیارِ یار سے لاے ہو کچھ خبر۔۔؟
عید تو گزرنے کو ہے، اور وہ آئے نہیں۔۔؟
 

Eid Ka Din Hai Aaj



nice eid shayari

Eid Ka Din Hai Aaj To Galy Mil Le ‘Nasir’ 
Rasm Bhi Hai, Moqa Bhi Hai, Dastoor Bhi Hai…

Kaash Keh Mil Jaye Mujhe Muqaddar Ki Siyaahi Aur Qalam,



Mohabbat Love Poetry

Kaash Keh Mil Jaye Mujhe Muqaddar Ki Siyaahi Aur Qalam, 
Lamhe Lamhe Ki Khushi Likh Doon Tumhari Zindagi Ke Liye…

کاش کہ مل جائے مجھے مقدّر کی سیاہی اور قلم 
لمحے لمحے کی خوشی لکھ دوں تمہاری زندگی کیلئے

Munafiq



                      



kaha is ne kah shakhon se
Juda pholo ko karny ki
hawaoun ki jo sazish hai
isy achy nahe lagty
faqat ik pal ko je chaha
isy itna kah do'n aj
MUHABBAT phol kiin patiyon 
se barh k nazuk thy!
jisy qadmoo'n taly is ne
kabhe ka roond dalla hai,,!



Woh mohabbat ka khuda hai mujhe maloom na tha





Woh mohabbat ka khuda hai mujhe maloom na tha
Sajda usko bhi rawa hai mujhe maloom na tha,

Woh bichadne laga mujhse toh anaa toot gayi
Rooth jaana hi ada hai mujhe maloom na tha,

Subah hone pe bhi aankho se andhera na gaya
Raat suraj se khafa hai mujhe maloom na tha,

Rooth jaane pe manana usey aata hi nahi
Yeh bhi meri hi khata hai mujhe maloom na tha,

Zindgi jurm -e-ansaar hai zamane me sagar
Saans lena bhi sazaa hai mujhe maloom na tha,

Sunao Eid Bahar Chaman ko Yaad karo,

Sunao Eid Bahar Chaman ko Yaad karo,

Piyam-e-Ishq Ke ik Sukhan Ko Yaad Karo…

Hajoom-e-Shoq Se Fursat Mile To Ehl-e-Watan,
Watan Se Door Kisi be_Watan ko Yaad Karo…

سناؤ عید بہار چمن کو یاد کرو 
پیام عشق کے اک سخن کو یاد کرو

ہجوم شوق سے فرصت ملے تو اہل وطن
وطن سے دور کسی بے وطن کو یاد کرو
 

Anaa ki Mooj Masti Mein Abhi Bhi Baadshah Hain Hum...!



Badshah Poetry

Anaa ki Mooj Masti Mein Abhi Bhi Baadshah Hain Hum...! 
Jo Hum ko toor Deta hai, Hum Us ko Chorr Daite Hain....!

انا کی موج مستی میں ابھی بھی بادشاہ ہیں ہم
جو ہم کو توڑ دیتا ہے، ہم اس کو چھوڑ دیتے ہیں


Suna Hay Jab Mohabbat Had Sey Barh Jaye



Sad poetry


Suna Hay Jab Mohabbat
Had Sey Barh Jaye
Ta’aluq Toot Jaty hain
Kisi Ki Badua’on Say
Muqaddar Phoot Jaty hain
Ta’aluq Toot Na Jaye
Muqaddar Phoot Na Jaye,
Hamare Haathon Mein
Jo Hath Hay,
Wo Choot Na Jaye
Hamara Kaanch Sa Ye Dil,
Kahin Phir Toot Na Jaye,
                                                        Chalo Apni Mohabbat Aazmaty Hain
                                                             Tumhain Hum Ye Batate Hain
                                                              Chalo Ham Rooth Jaty hain…

Aap Maghroor Kion Samajhte Hain..?



Romantic Girl

Aap Maghroor Kion Samajhte Hain..?
Mujhe kam Boolne ki Aadar Hai....

Baat To Such Hai Mager, Dil Manta Hi Nahi,





Barish Shayari

Baat To Such Hai Mager, Dil Manta Hi Nahi,
Ke Barish Mein Mera Ghar Jala Kaise…??


بات تو سچ ہے مگر دل مانتا ہی نہیں 
کہ بارش میں میرا گھر جلا کیسے۔۔۔؟

THEK HAI KOI REHBAR BHE NA THA

ٹھیک ھے کوئی راہبر بھی نہ تھا
دل مگر ایسے در بدر بھی نہ تھا

کیوں زمیں کو ہی دوش دیتے رہے
آسماں اتنا معتبر بھی نہ تھا

کیسےصدیوں میں طے ھوا صاحب؟
راستہ اتنا مختصر بھی نہ تھا

جس پہ لکھٌا تھا نام ھم نے کبھی
جا کے دیکھا تو وہ شجر بھی نہ تھا

اُس کا گھر بھی تھا دسترس سے پرے
مُڑ کے دیکھا تو اپنا گھر بھی نہ تھا

کیسے دل کا علاج اُس نے کیا ؟
دیکھنے میں وہ چارہ گربھی نہ تھا

ڈوب جاؤ بتول ! دل نے کہا
راستے میں کوئی بھنور بھی نہ تھا