Tuesday 26 March 2013

""Tark-e-ta_luq kar to chukay hain, aik imkaan abhi baaki hai

""Tark-e-ta_luq kar to chukay hain, aik imkaan abhi baaki hai
Aik mahaaz se loot aye hain, aik maidan abhi baaqi hai,

Shayad us ne hansi hansi mein, tark-e-wafa ka zikr kiya
Yunhi si ik khush-fehmi hai, itmenaan abhi baaqi hai,

Raat’ain us k hijr mein ab bhi, naza’a kay aalam mein kat’ti hain
Dil mein waisi hi wehshat hai, tann mein jaan abhi baaki hai,

Bachpan k is ghar k saray kamray, maliya-mait huay hain
Jis mein hum khaila karty thy, wo daalan abhi baaki hai,

Diye mundair pe rakh aaty hain, hum har sham najanay kyun
Shayad us k laut aany ka, kuch imkaan abhi baaki hai,

Aik adalat aur hai jis mein, hum tum ik din hazir hongy
Faisla sun kar khush mat hona, aik mezaan abhi baaki hai. . !