Showing posts with label Ankhen Poetry. Show all posts
Showing posts with label Ankhen Poetry. Show all posts

Wednesday, 15 October 2014

Suno logo meri ankhain khareedo gay?

Suno logo
meri ankhain khareedo gay?
Mujhay ik khwab ka tawaan bharna ha,
Ek esa khwab tha,,
Jo keh jagti ankhoun ne dekha tha,,
baray hi chao say,,,
our kitny armanoun se dekha tha,,
Magar dekhay huay us khwab ki tabeer ulti ha,
nahin shikwa kisi say apni hi taqdeer ulti ha,
jo ab tak ho chuka mujh ko, whi nuksan bharna ha,
Ab ankhain baich kar hi khwab ka tawan bharna ha,
Suno logo
Meri Aankhein Khareedo Ge?....
Bohat Majboor Haalat Mein Mujhe Neelaam Karni Hain
Koi MujhSe Naqad Le Le
Main Thore Daam Le Lon Ga
Jo Pehli Boli De De Bas Usi Ke Naam Kar Dun Ga
Mujhe Baazaar Waale Keh Rahe Hain Kam-Aqal Taajir....
Arey Sunsaan logo Main Nahin Hun Hirs Ka Khawahaan
Nafa Nuqsaan Ki Shatranj Nahin Main...... Khelne Aaya
Koi MujhKo Kahe Na ManChala Saa Be-Hunar Taajir....
Bata Paaun Tumhein Kis Tarha Kis Tashweesh Mein Rakhun

Suno Logo!
Bari Mehboob-Tar Hain MujhKo Meri Neem-Tar Aankhein....
Magar Ab Bechta Hun K
Mujhe Ik Khuaab Ka Taawaan Bharna Hai
Suno....
Meri Aankhein Khareedo Ge....???


Thursday, 25 September 2014

Uski Ankhen Sawaal Pochen To

Uski Ankhen Sawaal Pochen To
Meri himat Jawab deti he.......

Wednesday, 30 July 2014

Meri Ankhon Pe Marta Tha,

Meri Ankhon Pe Marta Tha,
Meri Baton Pe Hansta Tha,
Na Jaane Shakhs Tha Kaisa,
Mujhay Khone Se Darta Tha,
Mujhe Jab Bhi Wo Milta Tha,
Yahi Har Bar Kehta Tha,
"Suno",
Agar Main Bhool Jaun To,
Agar Main Rooth Jaun To,
Kabhi Wapis Na Aaoun To,
Bhula Pao Ge Yeh Sab Kuch Kya?
Younhi Hansti Raho Gi Kya?
Younhi Sajti Raho Gi Kya?
Yahi Baatain Hon Bas Uski,
Yahi Yaadain Hon Bas Uski,
Mujhy To Yaad Hai Itna,
Mujhy Wo Pyar Karta Tha,
Mujhy "Khone" Say Darta Tha


Saturday, 12 July 2014

teri yaadoun ki khushboo khirkiyoun main raqs karti hay

Samandar main utarta hoon tou aankhain bheeg jaati hain 
teri aankhoun ko parhta hoon tou aankhain bheeg jaati hain 

tumhaara naam likhney ki ijaazat chin gayi jub say 
koi bhi lafz likhta hoon tou aankhain bheeg jaati hain 

teri yaadoun ki khushboo khirkiyoun main raqs karti hay 
teray gham main sulagta hoon tou aankhain bheeg jaati hain 

main huns k jhail laita hoon judaayi ki sub hee rasmain 
galey jub us k lagta hoon tou aankhain bheeg jaati hain 

najaaney hogaya hoon isqadar hassaas main kub say 
kisi say baat karta hoon tou aankhain bheeg jaati hain 

woh sub guzrey huay lamhaat mujh ko yaad aatey hain 
tumhaarey khut jo parhta hoon tou aankhain bheeg jaati hain 

main saara din bohat masroof rehta hoon magar joonhi 
qadam chaukhat pay rakhta hoon tou aankhain bheeg jaati hain 

hur ik muflis k maathey par alam ki daastaanain hain 
koi chehra bhi parhta hoon tou aankhain bheeg jaati hain 

barey logoun k oonchey budnuma or sard mehloun ko 
ghareeb aankhoun say takta hoon tou aankhain bheeg jaati hain 

teray koochey say ab mera talluq waajibi sa hay 
magar jub bhi guzarta hoon tou aankhain bheeg jaati hain 

hazaaroun mausamoun ki hukmraani hay meray dil par 
Wasi main jub bhi HUNSTA hoon tou aankhain bheeg jaati hain!!