Sunday, 15 March 2015

Haath Khali Hain Tere Shehar Se Jaate Jaate

Haath Khali Hain Tere Shehar Se Jaate Jaate;
Jaan Hoti To Meri Jaan Lutate Jaate;
Ab To Har Haath Ka Pathar Humein Pehchanta Hai;
Umar Guzri Hai Tere Shehar Mein Aate Jaate!…

Yeh Hadasa To Kisi Din Guzarne Wala Tha

Yeh Hadasa To Kisi Din Guzarne Wala Tha;
Main Bach Bhi Jata To Ik Roz Marne Wala Tha;

Tere Salook Teri Aagahi Kee Umr Daraz;
Mere Aziz Mera Zakham Bharne Wala Tha;

Bulandiyon Ka Nasha Toot Kar Bikharne Laga;
Mera Jahaz Zameen Par Utarne Wala Tha;

Mera Naseeb Mere Haath Kaat Gaye Varna;
Main Teri Maang Mein Sindoor Bharne Wala Tha;

Mere Chirag Meri Shab Meri Munderein Hain;
Main Kab Shareer Hawaon Se Darne Wala Tha!…

Andhere Charon Taraf Taraf Sayein Sayein Karne Lage

Andhere Charon Taraf Taraf Sayein Sayein Karne Lage;
Chirag Haath Utha Kar Duayein Karne Lage;
Taraqi Kar Gaye Bimariyon Ke Saudagar;
Yeh Sab Mariz Hain Jo Ab Dawayein Karne Lage!…

Dil Se Na Pucho Ki Ander Dard Kitna Hai

Dil Se Na Pucho Ki Ander Dard Kitna Hai;
Dhadkan Se Na Pucho Ki Baki Khel Kitna Hai;
Puchna Hi Hai To Jalti Hui Laash Se Pucho;
Zindagi Mein Gham Aur Kafan Mein Chain Kitna Hai!…

Raat Ki Dhadkan Jab Tak Jaari Rehti Hai

Raat Ki Dhadkan Jab Tak Jaari Rehti Hai;
Sotey Nahi Hum, Zimmedari Rehti Hai;
Jabse Tuney Halki Halki Baatein Ki;
Yaar Tabiyat Bhaari Bhaari Rehti Hai! …

Dost Ho Kar Bhi Mahino Nahi Miltaa Mujhse

Dost Ho Kar Bhi Mahino Nahi Miltaa Mujhse;
Uss Se Kehna Ke Kabhi Zakhm Lagaane Aaye!…