Showing posts with label Udaas Shayari. Show all posts
Showing posts with label Udaas Shayari. Show all posts

Wednesday, 15 October 2014

Suno logo meri ankhain khareedo gay?

Suno logo
meri ankhain khareedo gay?
Mujhay ik khwab ka tawaan bharna ha,
Ek esa khwab tha,,
Jo keh jagti ankhoun ne dekha tha,,
baray hi chao say,,,
our kitny armanoun se dekha tha,,
Magar dekhay huay us khwab ki tabeer ulti ha,
nahin shikwa kisi say apni hi taqdeer ulti ha,
jo ab tak ho chuka mujh ko, whi nuksan bharna ha,
Ab ankhain baich kar hi khwab ka tawan bharna ha,
Suno logo
Meri Aankhein Khareedo Ge?....
Bohat Majboor Haalat Mein Mujhe Neelaam Karni Hain
Koi MujhSe Naqad Le Le
Main Thore Daam Le Lon Ga
Jo Pehli Boli De De Bas Usi Ke Naam Kar Dun Ga
Mujhe Baazaar Waale Keh Rahe Hain Kam-Aqal Taajir....
Arey Sunsaan logo Main Nahin Hun Hirs Ka Khawahaan
Nafa Nuqsaan Ki Shatranj Nahin Main...... Khelne Aaya
Koi MujhKo Kahe Na ManChala Saa Be-Hunar Taajir....
Bata Paaun Tumhein Kis Tarha Kis Tashweesh Mein Rakhun

Suno Logo!
Bari Mehboob-Tar Hain MujhKo Meri Neem-Tar Aankhein....
Magar Ab Bechta Hun K
Mujhe Ik Khuaab Ka Taawaan Bharna Hai
Suno....
Meri Aankhein Khareedo Ge....???


Thursday, 7 August 2014

Firaaq-e-yaar ki barish, malaal ka mosam

Firaaq-e-yaar ki barish, malaal ka mosam
Hamary shehr me utra kamal ka mosam,

Wo ik dua meri jo namurad loti
Zuban sy rooth gya phir sawal ka mosam,

Boht dinon sy mery zehn k darichon me
Thehr gya hy us k khayal ka mosam,

Jo Be'yaqeen hon baharen ujar b sakti hyn
Tu aa k daikh ly mery zawal ka mosam,

Mohabten b uski dhoop chaon jesi hyn
Kabi ye hijr kabi ye wisal ka mosam,

Koi Mila He Nhi Jisko Sonpty Mohsin
Hum Apny Khawab ki Khushbu Khayal ka mosam.

Saturday, 2 August 2014

Aik He Aag ke Sholow'n Me Jalai Hue Loog

Aik He Aag ke Sholow'n Me Jalai Hue Loog
Rooz Mil Jaty Hen, Do Chaar Sataye Hue Loog

Wohe Mai Hun, Wohe Asooda Kharami Mery
Or Har Samt Wohe Daam Bichaye Hue Loog

Khuab Kaisy Keh ab Ankhen He Salamat Reh Jai'n
Wo Fiza Hai Keh Rahen Khud Ko Bachai Hue Loog

Tery Mehram To Nahi Aye Nige-Naaz Magar
Hum Ko Pehchan keh Hain Tery Bulai Hue Loog

Zindagi Deekh Ye Andaz Tery Chahat Ka
Kin Saleboon Ko Hen Seny Se Lgaye Hue Loog

Phir Wohe Hum Hen Wohe Halqa-e-Yaaran Bhe He Shooq
Phir Wohe Sheher, Wohen Sang Uthaye Hue Loog




Friday, 11 July 2014