Aitbar Sajid Poetry

Paikar Tha Wafa Ka Mohabbat Ka Khuda Tha

Paikar tha wafa ka, mohabbat ka khuda tha
Woh shakhss zamaney mein sab se hi juda tha

Chahat ke khazaney they har lafz mein us ke
Daaman mera us ne duaaon se bhar tha

Mujh ko nahin dekha karri dhoop ne chu kar
Baba mera duniya main mujhe aesa jo mila tha

Fikrain na zamaney ki kabhi paas bhi ayin
Hard dard meri hasti se dartaa hi raha tha

Jab taka raha saanson ka basera mere baba
Tab tak main ghamon se bachta hi raha tha

Us shaam ki hiddat mere dil se nahin jati
Jis shaam tera saaya mere sar se utha tha___!!

Judaa Bhi Honay Ka Andhesha Seh Nahin Saktey

Judaa bhi honay ka andheshaa seh nahin saktey
Hum aik sheher mein ab khush bhi reh nahin saktey

Yeh roz-o-shab hain hamarey ke aik dusrey se
Chupaye phirtey hain ehwaal, keh nahin saktey

Shakist-e-zaat ka izhaar chahtey bhi nahin
Ajeeb haal hai, hum chup bhi reh nahin saktey

Haqeeqton ki chattanain bhi apni raah main hain
Khayal-o-khawb ke daryaa main beh nahin saktey

Woh be’qasoor hai, aesi bhi koi baat nahin
Qasoor’waar hain hum, yeh bhi keh nahin saktey_!!

Kal Yeh Likhti Theen Bicharna Tumhey Manzoor Nahin

Kal yeh likhti theen bicharna tumhe manzoor nahin
Ab yeh kehti ho “mere khat mujhe wapis kar do

Main safaayi koi doon ga na wazaahat doon ga
Tum ko wapis main tumhari yeh amaanat doon ga

Phir kabhi tumse na milney ki zamanat doon ga
Bas tumhe tark-e-marasim pe yeh zehmat doon ga

Tum ho bechain to mein bhi koi masroor nahin
Kal yeh likhti theen bicharna tumhe manzoor nahin

Ab yeh kehti ho “mere khat mujhe wapis kar do__!!

Dhoop K Dasht Mein Shishay Ki Radain Di Hein

Dhoop Kay Dasht Mein Shishay Ki Radain Di Hein
Zindagi Tune Hmain Kesi Sazain Di Hein

Sholo Jesi He Ata Ki Hein Solagti Bondain
Aag Barsati Hoi Hum Ko Gataye Di Hein

Ek Dua Go Ne Rafaqat Ki Tasali Day Ker
Umer Bhar Hijar Mein Jalne Ki Sazain Di Hain

Dil Ko Bujne Ka Bahana Koi Darkar Tu Tha
Dukh Tu Ye Hai Tere Daman Ne Hawaye Di Hein

Kesa Mahool Mila Hai Hamain Jine Kay Liye
Dene Wale Ne Hamain Kesi Fizain Di Hein__!!

Bhari Mehfil Mein Tanhai Ka Alam Dhond Leta Hon

Bhari Mehfil Mein Tanhai Ka Alam Dhond Leta Hon
Jahan Jata Hon Apne Dil Ka Mousam Dhond Leta Hon

Akela Khud Ko Jab Mehsos Kerta Hon Kisi Lamhay
Kisi Umeed Ka Chehra Koi Gham Dhond Leta Hon

Boht Hansi Nazar Ati Hein Jo Ankhain Sar E Mehfil
Main In Ankhon Kay Pechay Chashm E Purnam Dhond Leta Hon

Gale Lag Ker Kisi Kay Chahta Hon Jab Kabhi Rona
Shiksta Koi Apne Jesa Ham Dam Dhond Leta Hon

Kelander Se Nahi Mashrot Mere Raat Din Sajid
Main Jesa Chahta Hon Wesa Mousam Dhond Leta Hon_!!

Kitni Badal Chuki Hai Rut Jazbay Bhi Wo Nahi Rahay

Kitni Badal Chuki Hai Rut Jazbay Bhi Wo Nahi Rahay
Dil Pay Tere Firaq K Sadmain Bhi Wo Nahi Rahay

Mehfile Shab Mein Guftago Hoi To Ye Khula
Batain Bhi Wo Nahi Rahi Lehjay Bhi Wo Nahi Rahay

Huliye Badal K Rakh Diye Jese Shab E Firaq Ne
Ankhain Bhi Wo Nahi Rahi Chehray Bhi Wo Nahi Rahay

Us Ka May Jamal Bhi Goya Gharoob Ho Chala
Apne Wafoor Shooq K Charchay Bhi Wo Nahi Rahay

Hosh E Kharon Gawa Chukay Khud Se Bhi Door Ja Chukay
Log Jo Tere Thay Kabhi Apne Bhi Wo Nahi Rahay

Ye Bhi Howa K Tere Baad Shooq E Safa Nahi Raha
Jin Pay Bichay Hoye Thay Dil Raste Bhi Wo Nahi Rahay__!!

Chahto K Be Samar Be Sood Khawabo Mein Rakha

Chahto Ke Be Samar Be Sood Khawabo Mein Rakha
Umer Bhar Tune Muje Na Haz Sarabo Mein Rakha

Kaye Mila Tuj Ko Meri Mati Jo Tune Ki Kharab
Kiyn Muje Tune Tamana K Azabo Mein Rakha

Ik Radaye Wada Farwa Ki Dilkash Aarh Mein
Khawab Janat K Dikhaye Our Kharabo Mein Rakha

Rouh Ko Hum Khaarzaro Mein Liye Phirte Rahay
Jan O Dil Ko Mubtala Kitne Azabo Mein Rakha

Ik Dil E Zinda Ko Silo Mein Rakh Diya
Ik Gul E Shadab Ko Murda Kitabo Mein Rakha

Ay Qaza Pervar Ye Mere Sath Tune Kaya Kiya
Ay Ajal Pesha Mera Dukh Kin Hisabo Mein Rakha__!!

Main Kesey Suna Raha Hun Ye Ghazal Mohabbaton Ki

Main Kese Suna Raha Hun Ye Ghazal Mohabbaton Ki
Kahin Aag Sazisho Ki Kahin Aanch Nafrato Ki

Koi Bagh Jal Raha Hai Ye Magar Meri Dua Hai
Mere Phool Tak Na Pohanche Ye Hawa Tamazto Ki

Mera Kon Sa Hai Mosam Mere Mosamo K Wali!
Ye Bahar Be Dili Ki Ye Khiza Murawato Ki

Main Qadeem E Baam O Dar Mein Unhain Ja K Dhondta Hun
Wo Diyare Tigato K Wo Fizayen Chahto Ki

Kahin Chad Ya Sitare Hoye Hum Kalam Muj Se
Kahin Phool Siriyon K Kahi Chariya Chato Ki

Mere Kaghazo Mein Shayed Kahin Ab Bhi So Rahi Ho
Koi Sobha Gulsita Ki Koi Shaam Perbato Ki___!!

Aysa Nahi K Tere Baad Ahal E Karam Nahi Milay

Aysa Nahi K Tere Baad Ahal E Karam Nahi Milay
Tuj Sa Nahi Mila Koi Log To Kam Nahi Milay

Ik Teri Judai K Dard Ki Baat Our Hai
Jin Ko Na Seh Sakay Ye Dil Ayse To Gham Nahi Milay

Tuj Se Bicharne Ki Katha Is K Siwa Hai Our Kaya
Mil Na Saki Tabiyatain Apne Qadam Nahi Milay

Ye To Howa K Ishq Mein Naam Bohat Kama Liya
Khod Ko Bohat Gawan Liya Daam O Dharam Nahi Milay

Aysa Diyar E Hijar Ne Hum Ko Aseer Ker Liya
Our Kisi Ka Zikar Kaya Khud Ko Bhi Hum Nahi Milay

Naam Waro K Shehar Mein Naam Bohat Milay Magar
Hum Se Gadaze Dil Usay Ahale Qalam Nahi Milay__!!

Tumhare Jese Log Jab Se Meharban Nahi Rahay

Tumhare Jese Log Jab Se Meharban Nahi Rahay
Tabhi Se Ye Mere Zamin O Asman Nahi Rahay

Khandar Ka Roop Dharne Lagay Hein Bagh Shehar K
Wo Phool O Darakhat Wo Samar Yaha Nahi Rahay

Sub Apni Apni Soch Apni Fiqar K Aseer Hein
Tumhare Shehar Mein Mere Mizaj Da Nahi Rahay

Usay Ye Gham Hai Shehar Ne Hamari Baat Jaan Li
Hamain Ye Dukh Hai Us K Ranj Bhi Niha Nahi Rahay

Bohat Hein Yun To Mere Ird Gird Mere Ashna
Tumhare Baad Dharkano K Raaz Dan Nahi Rahay

Aseer Ho K Reh Gaye Hein Shehar Ki Fizao Mein
Parinday Waqeye Chaman K Tarjuman Nahi Rahay_______!!

Koi Kesa Hum Safar Hai Ye Abhi Se Mat Batao

Koi Kesa Hum Safar Hai Ye Abhi Se Mat Batao
Abhi Kaya Pata Kisi Ka K Chali Nahi Hai Nao

Ye Zarori To Nahi Hai K Sada Rahain Marasim
Ye Safar Ki Dostti Hai Ise Roog Mat Banao

Mere Chara Gar Bohat Hein Ye Khalish Magar Hai Dil Mein
Koi Aysa Ho K Jis Ko Hon Aziz Mere Ghao

Tumhain Ayna Giri Mein Hai Bohat Kamal Hasil
Mera Dil Hai Kirchi Kichi Ise Joor Ker Dikhao

Koi Qais Tha To Hoga Koi Kokahan Tha Hoga
Mere Ranj Mukhtalif Hein Muje Un Se Mat Milao

Muje Kaya Parhi Hai Sajid K Parai Aag Mangon
Main Ghazal Ka Adami Hon Mere Apne Hein Alao_____!!

Us Ne Kaha Muj Se Tumhain Kitna Payar Hai

Us Ne Kaha Muj Se Tumhain Kitna Payar Hai
Maine Kaha Sitaro Ka Koi Shumar Hai

Us Ne Kaha Ke Kon Tumhain Hai Bohat Aziz?
Maine Kaha Ke Dil Pay Jise Ikhtiyar Hai

Us Ne Kaha Ke Kon Sa Tuhfa Hai Man Pasand?
Maine Kaha Wo Shaam Ko Ab Tak Udhaar Hai

Us Ne Kaha Khizan Mein Mulaqat Ka Jawaz?
Maine Kaha Ke Qurb Ka Matlab Bahar Hai

Us Ne Kaha K Muj K Yaqeen Aye Kis Tarah?
Maine Kaha Ke Naam Mera Aitbar Hai______!!

Tum Ko To Ye Sawan Ki Ghata Kuch Nahi Kehti

Tum Ko To Ye Sawan Ki Ghata Kuch Nahi Kehti
Hum Sokhta Logo Ko Ye Kaya Kuch Nahi Kehti

Ho Lakh Koi Shoor Muchata Howa Mosam
Dil Chup Ho To Bahir Ki Fiza Kuch Nahi Kehti

Kiyn Rait Pay Bethay Ho Jukaye Hoye Sir Ko
Kay Tum Ko Samandar Ki Hawa Kuch Nahi Kehti

Pocha K Shikayat To Nahi Hai Use Hum Se
Ahista Se Qasid Ne “Kaha Kuch Nahi Kehti”

Pocha K Judai Ko Koi Hal Bhi Nakala?
Qasid Ne Dobara Ye Kaha “Kuch Nahi Kehti”

Ay Nukta E Dard! Ye To Batao K Sare Shab
Kaya Shama Faroza Se Hawa Kuch Nahi Kehti______!!

Yonhe Si Aik Baat Thi Us Ka Malal Kaya Karain

Yonhe Si Aik Baat Thi Us Ka Malal Kaya Karain
Meer E Kharab Haal Sa Apna Bhi Haal Kaya Karain

Aysi Fiza K Qehar Mein Aysi Hawa K Zehar Mein
Zinda Hein Ayse Shehar Mein Our Kamal Kaya Karain

Our Bohat Si Uljhanain Tooq O Rasan Se Berh K Hein
Zikar E Jamaal Kaya Karain Fikare Wisaal Kaya Karain

Dondh Liye Hein Chara Gar Hum Ne Diyar E Ghair Mein
Ghar Mein Hamara Kon Hai Ghar Ka Khawal Kaya Karain

Chuntain Hein Dil Ki Kirchiya Bikhari Hein Jo Yaha Waha
Hona Tha Aik Din Yahi Ranj Maal Kaya Karain

Us Ki Nazar Mein Hech Hein Apni Tamam Muntaqain
Tekh E Khayal Kaya Karain Haraf Ki Dhal Kaya Karain________!!


No comments:

Post a Comment