Thursday, 7 February 2013

Tohmatein to lagti hain

 http://topyaps.com/wp-content/uploads/2011/09/lonely-sad-boy.jpeg

Tohmatein to lagti hain
roshni ki khwahish mein

ghar se baahar aane ki
kuch saza to milti hai

log-log hote hain
inn ko kya khabar jaana’n

aap ke iraado’n ki
khubsoorat aankhon mein

basne waale sapno’n ke
rang kaise hote hain

dil ki god aangan mein
palne waali baato’n ke

zakhm kaise hote hain
kitne gehre hote hain
 
kab ye soch sakte hain
aisi be-gunaah aankhein

ghar ke kone khudro’n mein
chhup ke kitna roti hain

phir bhi ye kahaani se
apni kaj-bayaani se

iss kadar rawaani se
daastan sunte hain

aur yaqeen ki aankhein
sach ke gham-zada dil se

lag ke kitna roti hain
tohmatein to lagti hain

roshni ki khwahish mein
tohmato’n ke lagne se

dil se dost ko jaana’n
ab nidhaal kya karna

tohmato’n se kya darna
tohmatein to lagti hain

roshni ki khwahish mein
ghar se baaher aane ki

kuch saza to milti hai..!

aa kisi sham kisi yaad ki dehleez pe aa

http://farm3.static.flickr.com/2393/2181471350_ac22751f57.jpg

 aa kisi sham kisi yaad ki dehleez pe aa
umer guzri tujhay dekhay huay behlaye huay
yaad hay?
Ham tujhay dil mantay thay
Apnay seenay main machalta hua ziddi bacha
Teray har naaz ko ungli se pakar kar aksar
Nit naye khuab k bazaar main le aatay thay
Teray har nakhray ki farmaish par
Aik jeevan ki tamannaon ki beenai se ham
Dekhtay thaktay na thay
Sochtay thay
Aik chota sa naya ghar
Naya mahol
Mohabbat ki fiza
Ham dono
Aur kisi baat pe takiyon se larai apni
Phir larai main kabhi hanstay huay ro parna
Aur kabhi rotay huay hans parna
Aur thak haar kar gir parnay ka masoom khushi bakhsh khayal
Yaad hay?
Ham tujhay sukh jantay thay
Raat hans deti thi besakhta rawish se teri
Dil teri doori se ro parta tha
Yaad hay?
Ham tujhay jaan kaha kartay thay
Teri khamoshi se mar jatay
Teri aawaz se jee uthtay thay
Tujh ko choo lenay se ek zindagi aa jati thi
Sharyano main
Thaam lenay se koi shehr sa bas jata tha veerano main
Yaad hay?
Ham tujhay milnay k liye
Waqt se pehlay pohanch jatay thay
Aur mulaqat k baad
Ham bohat der se ghar aatay to kehtay k hamain
Kuch na kaho ham bohat duur se ghar aaye hain
Is qadar duur se ghar aaye hain k shayad he koi aaya ho
Yaad hay?
Ham tujhay Khuda samajhtay thay magar kufr se dar jatay thay
Teray chin janay ka dar theek se rakhta tha
musalman hamain
aa kisi sham kisi yaad ki dehleez pe aa
teray bhoolay huay raston pe liya phirta hay
emaan hamain
aur kehta hay k pehchan hamain
yaad hay ?
ham tujhay emaan kaha kartay thay”

 

 

Us Ka Apna Hi Karishma Hai Fasoon Hai Yun Hai

 https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEgxbE9hQ8DEGEEmTU5cA7mE4MfLi_eziSylINlBSsDLT_GkrIEfsde8A28cduHPbQS0HraxnVZr3tWINy7F0KynJhiEQWUeYwno012QyB3SnYM45ph7BAa8e6_m0FDorh3DzpSNgfVbIKI/s1600/Still_walking_alone____by_pcooli.jpg

Us Ka Apna Hi Karishma Hai Fasoon Hai Yun Hai
Yun To Kehne Ko Sabhi Kehtay Hain Yun Hai Yun Hai

Jaisay Koi Dar E Dil Per Ho Stadah Kab Se,

Aik Saya Na Daroon Hai Na Baroon Hai Yun Hai

Tum Ne Dekhi Hi Nahin Dast E Wafa Ki Tasvir

Nook E Her Khaar Pe Ik Qathrah E Khoon Hai Yun Hai

Tum Mohabbat Main Kahan Sood O Zyaan Le Aaye

Ishq Ka Naam Khirad Hai Na Junoon Hai Yun Hai

Ab Tum Aaye Ho Meri Jaan Tamasha Karne

Ab To Darya Main Talatum Na Sukoon Hai Yun Hai

Naseha Tujh Ko Khaber Kya K Mohabbat Kya Hai

Roz Aa Jata Hai Samjhata Hai Yun Hai Yun Hai

Shairy Tazah Zamanoon Ki Hai Maimaar FARAZ!

Ye Bhi Ik Silsilay E Kun Fa Yakoon Hai Yun Hai.

 

 

Kiun Na Hum Ahd-E-Rafaqat Ko, Bhulany Laag Jaien

-->


Kiun Na Hum Ahd-E-Rafaqat Ko,
Bhulany Laag Jaien
Shayad Is Zakham
Ko Bharny Main Zamany Laag Jaien
Nahe Aisa Bhei Kah Ik Umar Ki Qurbat K Nashy
Ik Rooz Ki Ranjish Se Thikany Lag Jaien
Yehe Naseh Jo Hamin Tujh Se Na Milny Ki Kahin
Tujh Ko Dekien To Tujhy Dekhny Ane Laag Jaien
Hum Kah Hain Lazat E Azar K Mary Hue Loog
Charah Gaar Aien Tu Zakhmoo Ko Chupany Laag Jaien
Rabt K Senkro Hely Hain
Muhaabat Na Sahe
Hum Tery Saath Kisy Aur Bahany Lag Jaien
Saqia
Masjid-O-Maktab To Nahe Maikhana
Phir Bhe Ghalat Loog Na Any Lag Jaien
Qurb Acha Hai
Magar,,Itny Bhe Shidat Se Na Mill
Ye Na Ho Tujh Ko Mery Roog Porany Lag Jaien
Ab "Faraz" Ao Chalien Apny Qbely Ki Taraf
Shairy Raq Karien Boojh Uthany Lag Jaien
Shayed Is Zakham Ko Bharny Main Zamany Laag Jaien