Showing posts with label GHAZAB POETRY. Show all posts
Showing posts with label GHAZAB POETRY. Show all posts

Thursday, 12 March 2015

Ye or Baat Teri Gali Main Na Aen Hum

Ye or Baat Teri Gali Main Na Aen Hum
Lekin Ye Kya,K Shehr Tera Chor Jaen Hum

Mudat Hui Hai Kou'e'Butan Ki Taraf Gae
Aawargi Se Dil Ko Kahan Tak Bachain Hum

Shayad Baqeet'e'Zeest Ye Sa'at Na A Sake
Tum Dastaan'e'Shouq Suno Aur Sunaen Hum

Be-Noor Ho Chuki Hai Buhut Shehr Ki Fiza
Tareek Raston Main Kahein Khoo Na Jaen Hum

Ab Aur Kia Kisi Se Marasim Barhain Hum
Yehi Buhut He Tujh Ko Agar Bhool Jaen Hum 

Sehra-E-Zindagi Main Koi Dosra Na Tha
Sunte Rahe Hain Aap Hi Apni Sadaen Hum

Is Zindagi Main Itni Faraght Kise Naseeb
Itna Na Yaad Aa Ke Tujhe Bhool Jaen Hum

Aaj Uske Baghair Ab To Buhut Jee Udass He
JALIB Chalo Kahin Se Use Dhoond Lain Hum

Wednesday, 27 August 2014

Tumhe jab kabi milain furstain mere dil se bhoj utar do,

Tumhe jab kabi milain furstain mere dil se bhoj utar do, 
Main bohat dinon se udas hon mujhe koi sham udhar do, 

Mujhe apne roop ki dhop do ke chamak sakain mere khal-o-khad, 
Mujhe apne rang main rang do mere sare zang utar do, 

Kisi aur ko mere haal se na garz ha koi na wasta, 
Main bikhr gya hon smait lo, main bigad gya hon sanwar do, 

Meri wehshton ko badha dya ha jodaion k azab ne, 
Mere dil pe haath rakho zara meri dadhknon ko qrar do, 

Tumhe subhu kaisi lagi, kaho, meri khawahshon k dyar ki, 
Jo bhali lagi to yahi raho, ise chahton se nikhar do, 

Wahan ghar main kon ha muntzar k ho fikar dair sawair ki, 
Badi mukhtsar si ye raat ha isi chandni main guzar do, 

Koi baat krni ha chand se kisi shakhsar ki oot main, 
Mujhe raste main yahin kahin kisi kunj gul main utar do,

Sunday, 20 July 2014

Harf lafzon ki taraf lafz ma’aani ki taraf

Harf lafzon ki taraf lafz ma’aani ki taraf
Laut aaye sabhi kirdaar kahaani ki taraf
Hosh kho baitha tha main zardi e jaan se aur phir
Ik hawaa aayi uraa le gayi paani ki taraf
Pahle misre mein tujhe soch liya ho jisne
Jana partaa hai use misra e saani ki taraf
Dil mein ik shakhs ki ummid ka marna tha ki bas
DhaRkanein khinchne lagin marsiya-khaani ki taraf
Chashm e veeraan ko baharhaal khushi hai iski
Khaab raaghib to hue naql e makaani ki taraf
Jab fizaa uske badan-rang ki ho jaayegi
Ghaur se dekhenge ham apni jawaani ki taraf
Ham to ik umr hui apni taraf aa bhi chuke
Aur dil hai ki usi dushman e jaani ki taraf
Us se kahnaa ki dhuaan dekhne laayaq hogaa
Aag pahne hue jaaoonga main paani ki taraf
Dil wo dariya hai mire seena e khaali mein k ab
Dhyaan jata hi nahin jiski rawaani ki taraf
Uthne lagti hai mire jism se ik boo e firaaq
Raat dekhoon jo kabhi raat ki raani ki taraf

Sunday, 6 July 2014

Andaaz apna dekhtay hain Aayene mein wo

Andaaz apna dekhtay hain Aayene mein wo
Aur ye bhi dekhtay hain koi dekhta na ho

Apni duwa mein sirf mujhe maangtay hain wo
Aur ye bhi maangtay hain koi mangta na ho

Mujh ko pata hy mujh say hi kertay hain pyar wo
Phir bhi na jaane kehnay say kyun dar rahay hain wo

Har lamha meray barey mein hi sochtay hain wo
Aur ye bhi sochtay hain koi sochta na ho

Bus mujh ko Dil-o-Jan say hi chahtay hain wo
Aur ye bhi chahtay hain koi chahta na ho


Monday, 23 June 2014

Sunday, 17 February 2013

Wo Bholta hai na dil main utarta hai mujay


Wo Bholta hai na dil main utarta hai mujay
Hamaisha mar muhabat ki marta hai mujay

Main us ka lamha mujod hun magar wo shakhas
Fazol waqat smaj ker guzarta hai mujay

Bazahar aysa nahi pairh is hawayli ka
Hawa chalay to buhat phol marta hai mujay

Main is k hath main jata hon malo zer ki trah
Wo rooz qarz smaj ker utarta hai mujay


Yar k ghum ko ajab nakash giri ati hai


Yar k ghum ko ajab nakash giri ati hai
Por por ankh ni manid phari ati hai

Bay taluq na hamain jan k hum jantain hain
Kitna kuch jaan k ye bay khabri ati hai

Is qadar gundna perti hai laho se mati
Hath ghul jatain hain to koza giri ati hai

Kitna rakhtay hai wo is shahary khamosha ka khayal
Roz ik nao gulabo se bhari ati hai

Zindgi kese bus ho gai k hum ko tabish
Sabar ata hai na ashfta sari ati hai