Wednesday 11 March 2015

kahin aah banke lab pe tera naam aa na jaaye

kahin aah banke lab pe tera naam aa na jaaye
tujhe bewafa kahun main woh maqaam aa na jaaye

zara khud ko sambhalo mera dil dhadak raha hai 
koi aur tair-e-dil tah-e-daaman aa na jaaye

jise soonke toot jaaye mera aarzoo bhara dil 
teri anjuman se mujhko woh payaam aa na jaaye

woh ke manzilon pe lakar kisi humsafar ko lootein 
inhi rehzahon mein tera kahin naam aa na jaaye

yeh mah-o-najoom hans lein mere aansuon pe 
mera mehtaab jab tak lab-e-baam aa na jaaye

Ye aur baat teri gali mein na aayen hum

Ye aur baat teri gali mein na aayen hum
lekin ye kya ki shahar tera chod jayen hum

muddat hui hai ku-e-butan ke taraf gaye
aavaragi se dil ko kahan tak bachayen hum

shayad baqaid-e-zist ye saat na aa sake
tum dastan-e-shauq suno aur sunayen hum

benur ho chuki hai bahut shahar ke faza
tarik raston mein kaheen kho na jayen hum

us ke bagair aj bahut jee udas hai
‘jalib’ chalo kaheen se use dhundh layen hum

uske baghair aaj bohot jee udas hai

uske baghair aaj bohot jee udas hai
jalib chalo kahin se use dhond lain hum

Is Dard Ki Duniya Se Guzar Kion Nahi Jate

Is Dard Ki Duniya Se Guzar Kion Nahi Jate 
Ye Log Bhi Kia Log Hain, Mar Kion Nahi Jate

Hai Kon Zamane Mein Mera Poochne Wala?? 
Nadaan Hain Jo Kehte Hain Ke Ghar Kion Nahi Jate..

Shouley Hain To Kion In Ko Bharakte Nahi Dekha?? 
Hain Khak To Rahon Mein, Bikhar Kion Nahi Jate…

Aansu Bhi Hain Aankhon Mein, Dua’in Bhi Hain Lab Par, 
Bigrey Hue Halaat, Sanwar Kion Nahi Jate….

Ae chaand yahan na nikla kar

Ae chaand yahan na nikla kar

Be-naam se sapne dekha kar

Yahan ulti ganga behti hai

Is des main andhay hakim hain

Na dartay hain , na naadim hain

Na logon ke woh khaadim hain

Hai yahan pe karobar bohat

Is des main gurday biktay hain

Kuch log hain aali shaan bohat

Aur kuch ka maqsad roti hai

Woh kehte hain sab acha hai

Maghrib ka raaj hi sacha hai

Ye des hain andhay logo ka

Ae chaand yahan na nikla kar !