Monday, 12 May 2014

Mery chaaro’n taraf hai dasht-e-be-paaya’n, kahan ho tum?

Mery chaaro’n taraf hai dasht-e-be-paaya’n, kahan ho tum?
Mery maathay pe bosa deni wali maa’n! kahan ho tum?

Mujhy jhalsa rahi hai zindagi ki dhoop barso’n se
Meri umeed, meri zeest ka saaman kahan ho tum?

Kharaash’ain daal di hain dil k aainey pe duniya ne
Mery har dukh, mery har dard ka dar-maa’n kahan ho tum?

Mein thak k girney wala hun, mujhy aaghosh mein lay lo!
Ta’aqub mein hai mery gardish-e-dauraa’n, kahan ho tum?

Mery wo dost khush-qismat hain jin ki maee’n zinda hain
Meri nazro’n mein saara sheher hai weeran kahan ho tum

Kahan ho tum? ye dekho mera seena kitna ghayal hai!
Mery zakhm’on ko marham ki talab hai maan! kahan ho tum?

HAPPY MOTHERS DAY

Baat Karni Mujhay Mushkil Kabhi Aisi Tu Na Thi

Baat Karni Mujhay Mushkil Kabhi Aisi Tu Na Thi
Jesi Ab Hay Teri Mehfil Kabhi Aisi Tu Na Thy

Lay Gia Cheen Kay Kyun Aaj Tera Sabr -o- Qaraar
Be Qarari Tujhay Ay DIL Kabhi Aisi Tu Na Thy

Chashm -e- Qatil Meri Dushman Thi Humaysha Lakin
Jesi Ab Ho Gai Qatil Kabhi Aisi Tu Na Thy

Un Kay Aankhon Nay KHUDA Janay Kia Kiya Jadu
Keh Tabiyat Meri Maa’el Kabhi Aisi Tu Na Thy

Aks -e- Rukh -e- Yaar Nay Kis Say Hay Tujhay Chamkaya
Tab Tujh Main Mah -e- Kaamil Kabhi Aisi Tu Na Thy

Kia Sabab Tu Jo Bigarta Hay “Zafar” Say Har Baar
Khu Teri Hur -e- Shamil Kabhi Aisi Tu Na Thy