Friday 27 June 2014

Tu Ne Dekha He Khabi Aik Nazar Shaam Key Baad


Tu Ne Dekha He Khabi Aik Nazar Shaam Key Baad
Kitney Chup Chaap Sey Lagtey Hen Shajar Shaam Key Baad

Itney Chup Chaap Key Rastey Bi Rahengey Laa Ilm
Chor Jaaengey Kisi Roz Nagar Shaam Key Baad

Mene Aisy Hi Giney Teri Judaai Me Kiye
Jese Tufaan Me Koi Chor Dey Ghar Shaam Key Baad

Shaam Sey Pehley Vo Mast Apni Uraanon Me Raha
Jis Key Hathon Me Tey Tootey Huey Par Shaam Key Baad

Raat Beti To Giney Aabley Aur Phir Socha
Kon Ta Bahis E Agaaz E Safar Shaam Key Baad

Tu He Suraj Tujey Maaloom Kahan Raat Ka Dukh
Tu Kisi Roz Mere Ghar Me Utar Shaam Key Baad

Lot Aaye Na Kisi Roz Vo Awaara Mizaaj
Khol Rakhtey Hen Isi Aas Pe Dar Shaam Key Baad



Thursday 26 June 2014

Humesha dair kar daita hoon mein har kam karnai mein

Humesha dair kar daita hoon mein har kam karnai mein
zaroori bat kahni ho koi wadha nibhana ho
usay awaz daini ho usay wapas bulana ho
Humesha dair kar daita hoon mein
maded karni ho us ki, yar ki dharas bandhana ho
bohat deerina rastoon par kisis sai milnai jana ho
Humesha dair kar daita hoon mein
badaltai mausomon ki sair mein dil ko lagana ho
kisi ko yad rakhna ho kisi ko bhool jana ho
Humesha dair kar daita hoon mein
kisi ko moat sai pehlai kisi gham sai bachana ho
haqiqat aur thi kuch us ko ja kar yeh batana ho
Humesha dair kar daita hoon mein har kam karnai mein

Monday 23 June 2014

Aafiyat chup hi mein thehri k teray shehr k log

Aafiyat chup hi mein thehri k teray shehr k log
Bolnay walay ki zubaan kaat diya kartay hain

Marna to is jahan main koi waqiya nahi..

Marna to is jahan main koi waqiya nahi..
Is d0r-e-na gawar main jena kamal hai..

Ab aur kya kisi se marasim barhayen hum

Ab aur kya kisi se marasim barhayen hum 
Ye bhi bohot hai, tujhe bhool jayen hum 

Sehra-e-zindagi mein koyi doosra na tha 
Suntay rahe hain aap hi apni sadayen hum 

Is zindagi mein itni faraghat kise naseeb 
Itna na yaad aa ke tujhe bhool jayen hum 

Tu itni dil zada to na thi ai shub-e-firaq 
Aa tere raaste mein sitare lotayen hum 

Wo log ab kahan hein jo kehte thay kal faraz 
Heh heh khuda na karta tujhe bhi rulayen hum 

Saturday 21 June 2014

Wo Dil Hi Kya Jo Tere Milne Ki Dua Na Kare

Wo Dil Hi Kya Jo Tere Milne Ki Dua Na Kare
Mein Tuj Ko Bhol Kar Zinda Rahon Khuda Na Kare

Rahe Ga Sath Tera Pyar Zindagi Ban Ke
Ye Aur Baat Meri Zindagi Wafa Na Kare

Ye Thek Hai Nahi Marta Koi Judai Mein
Khuda Kisi Se Kisi Ko Mgar Juda Na Kare

Khud-Garz Hota Tu Hjoom Hota Sath

Khud-Garz Hota Tu Hjoom Hota Sath
Mukhlis Hoon Is Liye Tu Tanha Hoon

Wo Sunta To Main Kehta, Mujhe Kuch Aur Kehna Tha

Wo Sunta To Main Kehta, Mujhe Kuch Aur Kehna Tha
Wo Pal Bhar Ko Jo Ruk Jata, Mujhe Kuch Aur Kehna Tha

Kamai Zindagi Bhar Ki, Usi K Naam To Kar Di
Mujhe Kuch Aur Karna Tha Mujhe Kuch Aur Kehna Tha

Kahan Us Ne Suni Meri Suni Bhi Un Suni Kar Di
Usay Maloom Tha Itna,Mujhe Kuch Aur Kehna Tha

Meray Dil Main Jo Dar Aya Koi Mujh Main Bhi Dar Aya
Waheen Ik Rabta Toota Mujhe Kuch Aur Kehna Tha

Rawan Tha Piyar NUS NUS Main, Bohat Qurbat Thi Apis Main
Usay Kuch Aur Sunna Tha Mujhe Kuch Aur Kehna Tha

Ghalat Fehmi Ne Baton Ko Barha Dala Younhi Warna
Kaha Kuch Tha Wo Kuch Samjha,Mujhe Kuch Aur Kehna Tha

Friday 13 June 2014

Ankho Mein Koi Khawab Utarne Nahi Deta

Ankho Mein Koi Khawab Utarne Nahi Deta
Ye Dil K Muje Chain Se Marne Nahi Deta

Bicharay To Ajeeb Payar Jatata Hai Khato Mein
Mil Jaye Tu Phir Had Se Guzarne Nahi Deta

Wo Shakas Khiza Rut Mein Bhi Muhtat Rahay Kitna
Sokhay Hoye Pholo Ko Bikharne Nahi Deta

Ik Roz Teri Payas Khariday Ga Wo Ghabro
Pani Tuje Panghat Se Jo Bharne Nahi Deta

Wo Dil Mein Tabasam Ki Kiran Gholne Wala
Rothay To Roto Ko Bhi Sanwarne Nahi Deta

Mein Us Ko Manao K Gham E Dehar Se Uljhon
Mohsin Wo Koi Kaam Bhi Kerne Nahi Deta


Raysham Zulfo Nilam Ankhon Wale Achay Lagte Hein


Raysham Zulfo Nilam Ankhon Wale Achay Lagte Hein
Main Shayer Hon Muje Ujhlay Chehray Achay Lagte Hein
Tum Socho Adhi Raat Ko Thanday Chand Ki Chaon Mein
Tanha Raho Per Hum Dono Kitne Achay Lagte Hein
Akhir Akhir Sachay Qoul Bhe Chubte Hein Dil Walo Ko
Pehle Pehel Payar K Jhote Wade Achay Lagte Hein
Jab Se Wo Perdais Gaya Sheher Ki Ronaq Roth Gai
Ab Tu Apne Ghar K Band Darichay Achay Lagte Hein
Kali Raat Mein Jagmag Kerte Tare Kon Bujhata?
Is Dhulhan Ko Ye Moti Ye Gehne Achay Lagte Hein
Kal Us Rothay Rothay Yaar Ko Dekha Tu Mehsos Howa
Mohsin Ujhle Jism Pay Kale Kapre Achay Lagte Hein

Hawa Ka Lamas Jo Apne Kowarh Kholta Hai

Hawa Ka Lamas Jo Apne Kowarh Kholta Hai
Tu Dair Tak Mere Gar Ka Sakoot Bolta Hai

Hum Ayse Khak Nasheen Kab Labha Sakain Gay Usay
Wo Apna Akas Bhi Mezan E Zar Mein Tolta Hai

Jo Ho Sakay Tu Yahi Raat Urh Lay Tan Per
Buja Charagh Andhere Mein Kiyn Tatolta Hai

Usi Se Mang Lo Kherat Us Kay Khawabo Ki
Wo Jagti Hoi Ankho Mein Nind Golta Hai

Suna Hai Zalzala Ata Hai Arash Per Mohsin
Kay Be Gunah Laho Jab Sana Pay Bolta Hai

Kab Talak Shab K Andhere Mein Sehra Ko Tarse

Kab Talak Shab K Andhere Mein Sehra Ko Tarse
Wo Musafir Jo Bhare Shehar Mein Ghar Ko Tarse
Ankh Thehray Hoye Pani Se Bhi Kaktrati Hai
Dil Wo Rehro Kay Samandar Kay Safar Ko Tarsay
Mujh Ko Us Qahat Kay Mousam Se Bacha Ya Rab Sukhan
Jab Koi Ahl E Hunar Arz E Hunar Ko Tarsay
Ab Kay Is Toor Muslat Howa Andhera Her So
Hijar Ki Raat Mere Dida Tar Ko Tarsay
Umar Itni Tu Ata Ker Mere Fun Ko Khaliq
Mera Dushman Mere Marne Ki Khabar Ko Tarsay
Usko Pa Ker Bhi Usay Dhond Rahi Hein Ankhain
Jese Pani Mein Koi Seep Gohar Ko Tarsay
Na Shanasai Kay Mousam Ka Asar Tu Dekho
Ayina Khal O Khad E Ayina Ko Tarse
Aik Dunia Hai Kay Basti Hai Teri Ankhon Mein
Wo Tu Hum Thay Jo Teri Aik Nazar Ko Tarsay
Shor E Sar Sar Mein Jo Sar Sabaz Rahi Hai Mohsin
Mousam E Gul Mein Wohi Shakh Samar Ko Tarsay

In Dino Shehar Bhar Kay Rasto Mein

In Dino Shehar Bhar Kay Rasto Mein
Jachati Hai Bala Ki Verani !
Akas Dar Akas Dasti Rehti Hai
Be Sada Ayino Ki Herani
Saray Chehro Kay Rang Phekay Hein
Sari Ankhain Ujhar Lagti Hain
Saray Din Ahato Ki Ginti Mein
Sari Ratain Paharh Lagti Hein
Bujhti Jati Hein Yaad Ki Shamain
Apni Palko Se Anson Ki Nagain
Totatay Hein Tu Dil Nahi Chunta
Jese Shakho Se Zard Ro Patay
Totatay Hein Koi Nahi Sunta
Tu Kaha Hai Kaha Nahi Hai Tu?
Bhol Ja Yaad Kiyn Nahi Ata?
Hum Se Kaya Pochna Mizaj E Hayat?
Hum Tu Bus Ek Dareda Daman Hein
Bhar Kay Khasatar E Diyar E Wafa
Lay Kay Sadio Ki Baas Phirte Hein
In Dino Shehar Bhar Kay Rasto Mein
HUm Akele Udas PHirte Hein
Ab Ye Sochain Tu Ankh Bhar Aye
IN Akele Ujar Rasto Mein
Tu Bhi Shayed Kahin Nazar Aye

Monday 9 June 2014

Tum Jab Aao Gi Tou Khoya Hua Paao Gi Mujhey

Tum Jab Aao Gi Tou Khoya Hua Paao Gi Mujhey
Meri Tanhaayi Mein Khwaabon Ke Siwa Kuch Bhi Nahi

Meray Kamray Ko Sajaanay Ki Tamanna Hai Tumhain ?
Meray Kamray Mein Kitaabon Ke Siwa Kuch Bhi Nahi

In Kitaabon Ne Barra Zulm Kiya Hai Mujh Par
In Mein Ik Ramz Hai Jisme Ramz Ka Maara Hua Zehen

Muzda-e-Ishrat-e-Anjaam Nahi Paa Sakta
Zindagi Mein Kabhi Aaram Nahi Paa Sakta

John Elia Poetry - Video

Jashan e Mehshar Majlis Doha John Elia - Video

Abbbas Tabish Poetry - video

Meri sochain badalti ja rahi hain,

Meri sochain badalti ja rahi hain,
Ke yeh cheezain badalti ja rahi hain,

Tamasha aik hai roz-e-azal se,
Fakat aankhain badalti ja rahi hain,

Badalte manzron ke aayine mein,
Teri yadain badalti ja rahi hain,

Dilon se jorrti thi jo dilon ko,
Woh sab rasmain badalti ja rahi hain,

Adhoori, na’mukamma khawhishain kyon,
Neyi shaklain badati ja rahi hain,

Agar manzil wohi hai rahiyon ki,
To kyon raahain badati ja rahi hain,

Najaney kyon mujhe lagta hai Amjad,
Ke woh nazrain badalti ja rahi hain..