Wednesday, 27 August 2014

Tumhe jab kabi milain furstain mere dil se bhoj utar do,

Tumhe jab kabi milain furstain mere dil se bhoj utar do, 
Main bohat dinon se udas hon mujhe koi sham udhar do, 

Mujhe apne roop ki dhop do ke chamak sakain mere khal-o-khad, 
Mujhe apne rang main rang do mere sare zang utar do, 

Kisi aur ko mere haal se na garz ha koi na wasta, 
Main bikhr gya hon smait lo, main bigad gya hon sanwar do, 

Meri wehshton ko badha dya ha jodaion k azab ne, 
Mere dil pe haath rakho zara meri dadhknon ko qrar do, 

Tumhe subhu kaisi lagi, kaho, meri khawahshon k dyar ki, 
Jo bhali lagi to yahi raho, ise chahton se nikhar do, 

Wahan ghar main kon ha muntzar k ho fikar dair sawair ki, 
Badi mukhtsar si ye raat ha isi chandni main guzar do, 

Koi baat krni ha chand se kisi shakhsar ki oot main, 
Mujhe raste main yahin kahin kisi kunj gul main utar do,

Tuesday, 26 August 2014

Me Apne Sabar ki Is se Barh Kar or kia misaal dun?

Me Apne Sabar ki Is se Barh Kar or kia misaal dun?
wo mere kandhe pay sar rakh k roti hai kisi or k liyea



Friday, 22 August 2014

Kabhi Chand ban kar mila karoo

Kabhi Chand ban kar mila karoo
kabhi Phoul ban kar Hansa karoo

Mere Dil may Bajtay Sazoo'n ko.
Kabhi Chupkay Chupkay Suna karoo

Main Hawa Ban k Aoo'nga.
Tum Rastay may Raha karoo.

Meri Zindagi k Andhero'n may
Tum Cheraag Ban k jala karoo

Meri Subho'n may Meri Shamoo'n may
Mera Zikar Ban k Raha karoo

Sunday, 17 August 2014

Unhe danista Mehfil me Jo dekha ho to mujrim hoin.

Unhe danista Mehfil me Jo dekha ho to mujrim hoin.

Nazar akhir nazar hai be iirrada uth gai ho gi....!!!

Friday, 15 August 2014

Wednesday, 13 August 2014

MUjhe Jo Kuch Bhe Kehna Tha Abhe Main Keh Nahe Paya

Mujhe Jo Kuch Bhe Kehna Tha Abhe Main Keh Nahe Paya
Meri Tehreer Kii Zad Mein Abhe To Kuch Nahe Aaya
Abhi Wo Karb Likhna Hai Jisey Mehsoos Karta Hon
Abhe Wo Khwaab Likhney Hain Jo In Aankhoun Main Paltey Hain

Mujhe Unko Bhe Likhna Hai Jinhien Main Dhoond Na Paya
Abhe Wo Log Likhney Hain Jo Kho Kar Haath Maltey Hain
Abhe Wo Ashk Likhney Hain Kabhe Jo Keh Nahe Paya
Meri Tehreer Ki Zad Mein Abhe To Kuch Nahe Aaya

Abhe Mosamoun Ki Shokiyaan Tehreer Karni Hain
Utahney Hain Abhe Darya Sey Mujh Ko Pyaas Key Pehrey
Abhe To Khusk Pairoun Par Mujhey Rim Jhim Bhe Likhna Hai
Kahien Pey Dhoop Likhni Hai Khien Pey Teergi Chaya
Meri Tehreer Kii Zad Mein Abhe To Kuch Nhe Aaya

Abhe To Mujh Ko Likhnii Hain Kissi Kii Reshami Zulfien
Kisi Kii Surmageen Palkien Kisi Ki Aankh Ka Kajal
Kisi Ki Un-Kahiii Baatien Macha Dien Dil Mein Jo Halchal
Abhe Wo Sab Bhe Likhna Hai Jo Mera Ishq Kehlaya
Meri Terhreer Kii Zad Mein Abhe To Kuch Nhe Aaya


Abhe To Wo Saffar Likhna Hai Jo Darpaish Hai Mujh Ko
Abhe To Tum Ko Apni Pyaas Ka Sehra Dikhana Hai
Abhe To Hijr Kii Likhni Hain Saari Matmii Raatien
Abhe To Aisey Lamhey Bhe Tumhien Aa Kar Sunaney Hain
Ke Jin Sey Ashk Aankhoun Mein Magar Is Dil Ko Behlaya
Meri Tehreer Kii Zad Mein Abhe To Kuch Nahe Aaya

Abhe Sey Saath Chorey Ja Rhay Ho Kis Liiye Janaa'n
Abhe To Khul Key Dil Ka Haal Bhe Tum Ko Na Batlaya
Meri Tehreer Kii Zad Mein Abhe To Kuch Nahe Aaya ...!!!!




Thursday, 7 August 2014

Tumhein jana ijazat hai

Tumhein jana ijazat hai
Hamaray muntazir thehro,Ya hum ko alwida keh do
Tumhein janan ijazat hay

Hamaray paaon mein to waqt ki zanjeer lipti hai
Qabl is k, k thak jaao hamaray saath chal k tum
Mohabbat ki thakawat tum ko hum se badgumaan kar de
Qabl is k, k her ik waapsi ki raah kho jaey
Jo socha bhi nahin hum nay , wohee kal ko ho jaey
Tumhein janan ijazat hai, koi bhi faisla kar lo

Hamaray muntazir thehro, ya hum ko alwida keh do
Hamara tum se wada hay tumharee yaad ko hum to
Sada dil k dareechay mein yunhee abaad rakhein gay
Tumhein hum yaad rakhein gay........AB

Tumhein jaana ijazat hay
Tum apnay hauslon mein jab thakawat see kabhi paao
Kisi pyaray se mukhray ki Haseen aankhon meoin kho jaao

Ijazat hay tumhein janan ager us pal jo tum chaho
Koi bhi faisla kar lo
Hamaray muntazir thehro , ya humko alwida keh do

Firaaq-e-yaar ki barish, malaal ka mosam

Firaaq-e-yaar ki barish, malaal ka mosam
Hamary shehr me utra kamal ka mosam,

Wo ik dua meri jo namurad loti
Zuban sy rooth gya phir sawal ka mosam,

Boht dinon sy mery zehn k darichon me
Thehr gya hy us k khayal ka mosam,

Jo Be'yaqeen hon baharen ujar b sakti hyn
Tu aa k daikh ly mery zawal ka mosam,

Mohabten b uski dhoop chaon jesi hyn
Kabi ye hijr kabi ye wisal ka mosam,

Koi Mila He Nhi Jisko Sonpty Mohsin
Hum Apny Khawab ki Khushbu Khayal ka mosam.

Woh shakhss bhi mere haal se anjaan betha hai

Woh shakhss bhi mere haal se anjaan betha hai,
Yoon ishq me goya hum ne paaya kuch bhi nahin

Sirf hum hain un ke dil mein

Sirf hum hain un ke dil mein,
Le doobi yeh ghalat fehmi hum ko


Saturday, 2 August 2014

Aik He Aag ke Sholow'n Me Jalai Hue Loog

Aik He Aag ke Sholow'n Me Jalai Hue Loog
Rooz Mil Jaty Hen, Do Chaar Sataye Hue Loog

Wohe Mai Hun, Wohe Asooda Kharami Mery
Or Har Samt Wohe Daam Bichaye Hue Loog

Khuab Kaisy Keh ab Ankhen He Salamat Reh Jai'n
Wo Fiza Hai Keh Rahen Khud Ko Bachai Hue Loog

Tery Mehram To Nahi Aye Nige-Naaz Magar
Hum Ko Pehchan keh Hain Tery Bulai Hue Loog

Zindagi Deekh Ye Andaz Tery Chahat Ka
Kin Saleboon Ko Hen Seny Se Lgaye Hue Loog

Phir Wohe Hum Hen Wohe Halqa-e-Yaaran Bhe He Shooq
Phir Wohe Sheher, Wohen Sang Uthaye Hue Loog