Friday 31 October 2014

Ho Ga Jagha Jagha Bapa Hussain Ka Matam

Ho Ga Jagha Jagha Bapa Hussain Ka Matam
Jalney Lagy He Phir Yadediat Isi Ley


Sehmi thy Kanoo Ko Chupa Lety thy

Sehmi thy Kanoo Ko Chupa Lety thy
Jab Bhe Saken Ko Musalman nazar Aty thy 


Jab Bhe kabhe zameer ka soda ho dosto

Jab Bhe kabhe zameer ka soda ho dosto
Qaim Raho Hussain k Inkaar ki Tarha

Karbala me Auladen Katy Imaam Hussain A.S ki

Karbala me Auladen Katy Imaam Hussain A.S ki
Magar! Naslen Mit Gaye Yazeed Ki

Pyas e Asghar ka Aks Karbala me wo Manzar dekha

Pyas e Asghar ka Aks Karbala me wo Manzar dekha
Insan bhool jaye ga kehna keh rozy daar hun main

Monday 20 October 2014

Ab mere, sirf mere ho k raho..!

Apni khatir jaagey ho, soyye ho
Apni Khatir Hansey ho, royye ho
Kis liye aaj khoye khoye ho..!
Tum ne aansu bohat piyye apne
Tum bohat saal reh liye apne..!
Ab mere, sirf mere ho k raho..!

Husn hi husn ho, zahanat ho
Ishq hun main, to tum muhabbat ho
Tum meri bas, meri amanat ho…!
Jii liye, jis qadar jiye apne,
Tum bohat saal reh liye apne
Ab mere, sirf mere ho k raho..!
Rehte ho ranj o gham k ghairon mein
Dukh k, aasaib k baseyron mein
Kese chordon tumen andheron mein
Tum ko dey dunga sab diye apne
Tum bohat saal reh liye apne
Ab mere, sirf mere ho k raho..!

Tum azal se dukhon k dairre ho
Chahe khud ko ghamon se ghairey ho
Jab se peda huwe ho mere ho
Aaj kholengey lab siyye apne
Tum bohat saal reh liye apne
Ab mere sirf mere ho k raho..!

Ab mujhe apne dard sehne do
Dil ki har baat dil se kehne do
Meri bahoon mein khud ko behne do
Muddatoon zakhm khud siyye apne
Tum bohat saal reh liye apne
Ab mere sirf mere ho k raho…


Thursday 16 October 2014

Wo kar nahi raha tha meri baat ka yakeen

Wo kar nahi raha tha meri baat ka yakeen
phir yun huwa k mar kar dekhana para mjy

Habs-e-Duniya Se Guzar Jaatay Hain.

Habs-e-Duniya Se Guzar Jaatay Hain. 
Aisa Kartay Hain Ke Mar Jaatay Hain. 

Kaisay Hotay Hain Bicharnay Waalay. 
Hum Ye Sochain Bhi Tou Dar Jaatay Hain. 

Ab Na Dekho Meri Banjar Aankhain. 
Charhtay Darya Tou Utar Jaatay Hain. 

Dhoop Ka Roop Rachaanay Waalay. 
Shaam Ko Aur Nikhar Jaatay Hain. 

Tum Kahaan Jao Ge Socho Mohsin. 
Log Thak Haar Ke Ghar Jaatay Hain.

Bana k chor dety hain wo apny wajood ka aadi, Mohsin

Bana k chor dety hain wo apny wajood ka aadi, MohsiN…..
Kuch log is tarha bhi muhabton ka sila dety hain

Tuhmaten To Lagti Raheen Roz Nayi Nayi Hum Per Mohsin

Tuhmaten To Lagti Raheen Roz Nayi Nayi Hum Per Mohsin
Magar Jo Sub Se Haseen Ilzam Tha Woh Tera Name Tha

Har Jurm Meri Zaat Say Mansoob Huwa Hai

Har Jurm Meri Zaat Say Mansoob Huwa Hai…
Kya Mere Siwa Shehr Mein Masoom Hain Saare…??

Dekho Gay Tou Mil Jayeingi Har Moor Pe Laashein

Dekho Gay Tou Mil Jayeingi Har Moor Pe Laashein…
Dhoondo Gay Tou Iss Sheher Main Qaatil Na Milega…

Wednesday 15 October 2014

Suno logo meri ankhain khareedo gay?

Suno logo
meri ankhain khareedo gay?
Mujhay ik khwab ka tawaan bharna ha,
Ek esa khwab tha,,
Jo keh jagti ankhoun ne dekha tha,,
baray hi chao say,,,
our kitny armanoun se dekha tha,,
Magar dekhay huay us khwab ki tabeer ulti ha,
nahin shikwa kisi say apni hi taqdeer ulti ha,
jo ab tak ho chuka mujh ko, whi nuksan bharna ha,
Ab ankhain baich kar hi khwab ka tawan bharna ha,
Suno logo
Meri Aankhein Khareedo Ge?....
Bohat Majboor Haalat Mein Mujhe Neelaam Karni Hain
Koi MujhSe Naqad Le Le
Main Thore Daam Le Lon Ga
Jo Pehli Boli De De Bas Usi Ke Naam Kar Dun Ga
Mujhe Baazaar Waale Keh Rahe Hain Kam-Aqal Taajir....
Arey Sunsaan logo Main Nahin Hun Hirs Ka Khawahaan
Nafa Nuqsaan Ki Shatranj Nahin Main...... Khelne Aaya
Koi MujhKo Kahe Na ManChala Saa Be-Hunar Taajir....
Bata Paaun Tumhein Kis Tarha Kis Tashweesh Mein Rakhun

Suno Logo!
Bari Mehboob-Tar Hain MujhKo Meri Neem-Tar Aankhein....
Magar Ab Bechta Hun K
Mujhe Ik Khuaab Ka Taawaan Bharna Hai
Suno....
Meri Aankhein Khareedo Ge....???


Saturday 11 October 2014

Na Garaz Kisi Se, Na waasta Mujhe Kaam Apne Hi Kaam Se



Na Garaz Kisi Se, Na waasta___Mujhe Kaam Apne Hi Kaam Se
Tere Zikar Se, Teri Fikar Se, Teri Yaad Se, Tere Naam Se....!!!