Monday, 9 June 2014
Meri sochain badalti ja rahi hain,
Meri sochain badalti ja rahi hain,
Ke yeh cheezain badalti ja rahi hain,
Tamasha aik hai roz-e-azal se,
Fakat aankhain badalti ja rahi hain,
Badalte manzron ke aayine mein,
Teri yadain badalti ja rahi hain,
Dilon se jorrti thi jo dilon ko,
Woh sab rasmain badalti ja rahi hain,
Adhoori, na’mukamma khawhishain kyon,
Neyi shaklain badati ja rahi hain,
Agar manzil wohi hai rahiyon ki,
To kyon raahain badati ja rahi hain,
Najaney kyon mujhe lagta hai Amjad,
Ke woh nazrain badalti ja rahi hain..
Monday, 12 May 2014
Mery chaaro’n taraf hai dasht-e-be-paaya’n, kahan ho tum?
Mery chaaro’n taraf hai dasht-e-be-paaya’n, kahan ho tum?
Mery maathay pe bosa deni wali maa’n! kahan ho tum?
Mujhy jhalsa rahi hai zindagi ki dhoop barso’n se
Meri umeed, meri zeest ka saaman kahan ho tum?
Kharaash’ain daal di hain dil k aainey pe duniya ne
Mery har dukh, mery har dard ka dar-maa’n kahan ho tum?
Mein thak k girney wala hun, mujhy aaghosh mein lay lo!
Ta’aqub mein hai mery gardish-e-dauraa’n, kahan ho tum?
Mery wo dost khush-qismat hain jin ki maee’n zinda hain
Meri nazro’n mein saara sheher hai weeran kahan ho tum
Kahan ho tum? ye dekho mera seena kitna ghayal hai!
Mery zakhm’on ko marham ki talab hai maan! kahan ho tum?
HAPPY MOTHERS DAY
Baat Karni Mujhay Mushkil Kabhi Aisi Tu Na Thi
Baat Karni Mujhay Mushkil Kabhi Aisi Tu Na Thi
Jesi Ab Hay Teri Mehfil Kabhi Aisi Tu Na Thy
Lay Gia Cheen Kay Kyun Aaj Tera Sabr -o- Qaraar
Be Qarari Tujhay Ay DIL Kabhi Aisi Tu Na Thy
Chashm -e- Qatil Meri Dushman Thi Humaysha Lakin
Jesi Ab Ho Gai Qatil Kabhi Aisi Tu Na Thy
Un Kay Aankhon Nay KHUDA Janay Kia Kiya Jadu
Keh Tabiyat Meri Maa’el Kabhi Aisi Tu Na Thy
Aks -e- Rukh -e- Yaar Nay Kis Say Hay Tujhay Chamkaya
Tab Tujh Main Mah -e- Kaamil Kabhi Aisi Tu Na Thy
Kia Sabab Tu Jo Bigarta Hay “Zafar” Say Har Baar
Khu Teri Hur -e- Shamil Kabhi Aisi Tu Na Thy
Saturday, 10 May 2014
Jo Na Mil Sake Wohi Bewafa
Jo Na Mil Sake Wohi Bewafa
Ye Bari Ajeeb Si Baat Hai
Jo Chala Geya Mujhe Chohr Kar
Wohi Aaj Tak Mere Sath Hai
Jo Na Mil Sake Wohi Bewafa
Jo Kisi Nazar Se Aata Hui
Wahi Roshni Hai Kheyal Mein
Wo Na Aa Sake Rahoun Muntazir
Ye Khalish Kahan Thi Wisal Mein
Meri Justaju Ko Khabar Nahi
Na Wo Din Rahe Na Wo Raat Hai
Jo Na Mil Sake Wohi Bewafa
Mere Pyar Lab Pe Gila Na Ho
Ye Kisi Kisi Ka Naseeb Hai
Ye Karam He Uska Jafa Nahi
Wo Juda Bhi Reh Kar Kareeb Hai
Jo Na Mil Sake Wohi Bewafa
Wohi Aankh Hai Mere Rubaru Usi
Hath Mein Mera Hath Hai
Mera Naam Tak Na Jo Le Saka
Jo Muje Qarar Na De Saka
Jo Na Mil Sake Wohi Bewafa
Jise Ikhtiyar To Tha Magar
Mujhe Apna Pyar Na De Saka
Wohi Shakhs Meri Tilash Hai
Wohi Dard Meri Heyaat Hai
Jo Na Mil Sake Wohi Bewafa
Ye Bari Ajeeb Si Baat Hai
Jo Chala Geya Mujhe Chohr Kar
Wohi Aaj Tak Mere Sath Hai
Subscribe to:
Posts (Atom)

