Friday, 1 February 2013

Raat k lamhe tamam hone tak,

Raat k lamhe tamam hone tak,
Tujhe hi sochta hon subha sy shaam hone tak,
Main aisa jism hon jiski rooh b tu hy,
Adhori zaat hon tere naam hone tak,
Teri awaz sun na lon to dil ni lagta,
Tarappta rehta hon tum sy hum kalam hone tak,
Teri nazar ki qeemat py bik rha hy koi,
Isy khareed ly tu mehngy daam hone tak,
Ishaq ki aag jo seeney mein laga baitha hon,
Sulagti rehti hein meri nendein kharam hony tak.

Kya kaha tujhe bhool jaon ?

Kya kaha tujhe bhool jaon ?
Mujhe mout ka koi shoq nahi...
 

Mujhsay Kehta Hai Kabhi Dil Main Malaal Atay Hain

Mujhsay Kehta Hai Kabhi Dil Main Malaal Atay Hain
Kaisay Kaisay Meray Dushman Ko Sawaal Atay Hain

Ye Jo Hum Rotay Hain Chup Kar Kabhi Tanhayi Main
Rafta Rafta Tujhay Ankhon Se Nikaal Atay Hain

Hum Mohabbat Pe Bhi Ehsaan Koi Rakhtay Nahi
Naikiya'n Kartay Hain, Dariya Main Daal Atay Hain

Bas Isi Khauf Se Soye Nahi Ik Muddat Se
Hijr Milta Hai Agar Khwab-E-Wisaal Atay Hain

Phool Khil Jayein To Us Shakhs Se Kam Kam Milna
Aisay Mausam Main Mohabbat Pe Zawaal Atay Hain...!!!

Usko fursat hi nahi


Usko fursat hi nahi
waqt nikaly Mohsin
Aisy hoty hain bhala
Chahny waly Mohsin
Yaad k dasht me phirta hon
Main nangy paon
Dekh to aa k kabi
Paon k chhaly Mohsin
Kho gai subho ki umeed
or ab lgta hai
Hum nahi hon gay
K jb hon gy ujaly Mohsin
Wo jo ik shakhs
Mtaa-e-dil-o-jan tha
Na raha
Ab bhala kon mery
Dard sambhaly Mohsin

Sitaron ko badalna chahate hain


Sitaron ko badalna chahate hain
Tare ham rah chalna chahte hain

Bohat barhaq sahe, paste hamare
Magar ab ham sanbhalna chahte hain

Sehar jase bhe ho, pher bhe sehar he
Shab-e-gum se nikalna chahte hain

Chaton se barf rokhsat ho rahe he
Ye mosam ab badalna chahte hain

Mehakte shokh jazbon ke tarha ham
Tare dill men machalna chahte hain

Nahe rokte same ke teez andhe
Deye to kab se jalna chahte hain