Friday, 19 October 2012

Abhi Is traf na Nigah kr,



Abhi Is traf na Nigah kr,
Main Ghazal ki Palken sanwar lun ,,
Mera lafz lafz ho Aaina,
Tjhe Aainy me utar lun ,,
Main tmam Din ka thka hua,
Tu tmam shab ka jga hua ,,
Zara thehr ja isi Mor pr,
Tery sath Shaam guzaar lun ,,
Agar Aasma’n ki Numaishon me,
Mjhe b Izn-e-Qayam ho ,,
To Main motiyon ki dukaan se,
Teri baliyan, Tery haar lun ,,
Kai Ajnabi teri Raah k,
Mery paas se yun Guzar gye ,,
Jinhe dekh kr ye tarap hui,
Tera Naam le kr Pukaar lun……


,,,,,,,,,,




Wednesday, 17 October 2012

Agar hum dost hote to,




Agar hum dost hote to,




Agar hum dost hote to,
Karam ki inteha karte ...!

Tumhen palkon pe rakhte hum,
Tumhen dill main basate hum ...!

Agar tum rooth jaate to,
Tumhen kitna manate hum ....!

Jo milne tum nahi aate,
To aa kar khud tumhain milte ...!

Tumhari laghzishon ko bhi,
Hansi main hum udaa dete ...!

Agr apni khata hoti,
To khud ko bhi saza dete ...!

Magar ye sab jabhi hota,
Aagar hum dost hote to ….!

Magar itna hee jana hai,
Ke tum ne aaj tak humko,
Paraya keh ke jana hai,
Kabhi hamdam na mana hai.

Agr hum dost hote to…..!

short urdu poetry(Two Line)



Wo mujh se poch raha tha batao kaisa laga?
tum agly zakham ko chora ye ghao kaisa laga
 ajab sawal kia andhey'un ne pat'un se
shajar se toot kar girna batao kaisa laga




Hijar Ki Raat Dhal Gaye "MOHSIN"
Ab Too Dil Se Kaho Sanbhal Jay




Ay Dil! Tu Dharak magar itna tu Zra Soch
 Tere Jazbaat or hain mere halaat or......!!

 !!


pathro tumhari aoqaat kia
us shaks ka dil uff tauba





Ay Dil! Tu Dharak magar itna tu Zra Soch
 Tere Jazbaat or hain mere halaat or......!!

 !!


Woh kehta tha bachpanaa hai bht tum Main...
phir mere dil ko khilona bana ker khela kyun" !




toot'ta howa lehja..doobti hoe sansain..
Ay Ishq !Meri jaan daikh or apny kaam daikh

!!


Phir Kia Hua? 
Ye Raah Ki Dushwariyon Se Puch,
Bas Itna Yaad Hey, 
Teri Janib Chala Tha Main..

!!





Ja aur koi Zabt ki Duniya talash kar,
Aye Ishq hm to ab tery Qabil nahi rahe..

!!


Hoslay hi Jawab Dainay lagay,
Is Qadar Us nay Aazmaya Mujhy ….!

!!


Bhool Jaana Tou Sub Ko Aata Hai,
Kuch Tou Dunya Se Munfarid Kartay !!




Kya kro gay?
Humsy Jawab-e-Guftago lay kar.....!!
Humny tu keh diya,
Tere hain,
Faqat tery hain,
or 
buss tery hain....!!

!!


Aisa karo 
mujhe apni dharkanon se mita do tum,
Tum se bicharte hi moat aye
 dil se ek dua do tum



Nahi fursat Yaqeen mano 
hmain kch aur kerny ki

Teri Yadain teri Batain 
bohat masroof rakhti hain …

  !!


Raaz Afshaa Na Karo
To Ik Baat Kaho

Hum Rafta Rafta

Tery Ho Rahy Hian





                                                

Bhar-kaien mery pyaas ko aksar tery ankhien



Bhar-kaien mery pyaas ko aksar tery ankhien





Bhar-kaien mery pyaas ko aksar
tery ankhien
Sehra mera chehra hai samandar 
tery ankhien
phir kon bhala dad-e-tabasum inhe de ga
roei'n ki bohoot mujh se bhichar kar
tery ankhien
bojhal nazar aty hai bazahir mujhy lakin
khilty hain bohoot dil main utar kar 
tery ankhien
ab tak mery ankhon se mitaye nahe mitta
bhegy hue ik sahaam ka manzar 
tery ankhien
mumkin ho to ik taza ghazal or bhe likh lo
phir orh na lien pyaar ki chadar 
tery ankien
youn dekhty rehna usy acha nahe 
MOHSIN
wo kanch ka pekar hai too pathar
tery ankhien

Wo kehti hai suno jaana,


Wo kehti hai suno jaana,


Wo kehti hai suno jaana,
Mohabbat moum ka ghar hai,
Tapish-e-bud-gumani ki,
Kahin pighla na de is ko?
Main kehta hoon,
Jis dil main zara bhi bad-gumani ho,
Wahan kuch aur ho to ho,
Mohabbat ho nahi sakti,
Wo kehti hai sada aise he,
Kia tum mujh ko chaho ge?
K main is main kami koi bhi,
Gawara ker nahi sakti,
Main kehta hoon,
Mohabbat kia hai ye tum ne sikhaya hai,
Mujhe tum se mohabbat k siwa,
Kuch b nahi aata,
Wo kehti hai,
Judai se bohat darta hai mera dil,
K khud ko tum se hat ker dekhna,
Mumkin nahi hai ab,
Main kehta hoon,
Yahi khadshe bohat mujh ko satate hain,
Magar sach hai mohabbat main,
Judai saath chalti hai,
Wo kehti hai,
Batao kia mere bin jee sako ge tum?
Meri baaten, meri yaaden, meri aankhen,
Bhula do ge?
Main kehta hoon,
Kabhi aisi baat per socha nahi main ne,
Ager ek pal ko bhi sochon to,
Saansen rukne lagti hain,
Wo kehti hai tumhen mujh se,
Mohabbat is qader kyon hai?
K main ek aam si larrki,
Tumhen kyon khaas lagti hon?
Main kehta hoon,
Kabhi khud ko meri aankhon se tum dekho,
Meri dewaangi kyon hai,
Ye khud he jaan jao gi,
Wo kehti hai,
Mujhe waraftgi se dekhte kyon ho?
K main khud ko bohat,
Qeemti mahsoos kerti hoon,
Main kehta hon,
Mata-e-jaan bohat anmol hoti hai,
Tumhen jub dekhta hoon zindgi,
Mahsoos kerta hoon,
Wo kehti hai,
Mujhe alfaz k jugno nahi milte,
K tumhen bata sakon,
K dil main mere kitni mohabbat hai,
Main kehta hoon,
Mohabbat to nigahon se jhalakti hai,
Tumhari khamoshi mujh se,
Tumhari baat kerti hai,
Wo kehti hai,
Batao na kiss ko khone se darta ho?
Batao kon hai wo jise,
Ye mousam bulate hain?
Main kehta hoon,
Yeh meri shayeri hai aaina dil ka,
Zara dekho batao kia,
Tumhen is main nazar aaya?
Wo kehti hai,
Atif jee bohat baaten banate ho,
Magar sach hai ye baaten,
Bohat he shaad rakhti hain,
Main kehta hoon,
Yeh sub baaten ye fasane ek bhana hain,
K pal kuch zindagani k,
Tumhare saath kat jayen,
Phir us k baad khamoshi ka,
Dilkash raqs hota hai,
Nigahen bolti hain aur,
Lub khamosh rehte hain…!!!



main Dil Pe Jabar Karo'n Ga Tujhy Bhula Do'n Ga


Ghazal By "MOHSIN NAQVI",,,
main dil pe jabar karun ga, 
tujhe bhula dun ga,

marrun ga khud bhi 
tujhe bhi karri saza dunga…
yeh tergi mere ghar ka
 hi kyun muqaddar ho,

main tere shehr ke 
saare diye bhuja dun ga…

hawa ka hath bataon ga 
har tabahi main,

haray shajar se parinday 
main khud urra dun ga…
waffa karun ga kisi 
sogwaar chehre se,

purani qabar pe katbah 
naya saja dun ga…
issi khayal mein guzri hai 
shaam-e-gham aksar,

ke dard hadh se barrhe ga 
to muskura dun ga…
barrha rahi hain mere dukh, 
nishaniyan teri,

main tere khat, teri tasveer 
tak jala dun ga…
bohat dino se mera dil udaas hai 
‘Mohsin’

iss aaiine ko koi aks ab naya dunga…