Ghazal By "MOHSIN NAQVI",,,
main dil pe jabar karun ga,
tujhe bhula dun ga,
tujhe bhula dun ga,
marrun ga khud bhi
tujhe bhi karri saza dunga…
tujhe bhi karri saza dunga…
yeh tergi mere ghar ka
hi kyun muqaddar ho,
hi kyun muqaddar ho,
main tere shehr ke
saare diye bhuja dun ga…
saare diye bhuja dun ga…
hawa ka hath bataon ga
har tabahi main,
har tabahi main,
haray shajar se parinday
main khud urra dun ga…
main khud urra dun ga…
waffa karun ga kisi
sogwaar chehre se,
sogwaar chehre se,
purani qabar pe katbah
naya saja dun ga…
naya saja dun ga…
issi khayal mein guzri hai
shaam-e-gham aksar,
shaam-e-gham aksar,
ke dard hadh se barrhe ga
to muskura dun ga…
to muskura dun ga…
barrha rahi hain mere dukh,
nishaniyan teri,
nishaniyan teri,
main tere khat, teri tasveer
tak jala dun ga…
tak jala dun ga…
bohat dino se mera dil udaas hai
‘Mohsin’
‘Mohsin’
iss aaiine ko koi aks ab naya dunga…
No comments:
Post a Comment