Sunday, 20 July 2014

Harf lafzon ki taraf lafz ma’aani ki taraf

Harf lafzon ki taraf lafz ma’aani ki taraf
Laut aaye sabhi kirdaar kahaani ki taraf
Hosh kho baitha tha main zardi e jaan se aur phir
Ik hawaa aayi uraa le gayi paani ki taraf
Pahle misre mein tujhe soch liya ho jisne
Jana partaa hai use misra e saani ki taraf
Dil mein ik shakhs ki ummid ka marna tha ki bas
DhaRkanein khinchne lagin marsiya-khaani ki taraf
Chashm e veeraan ko baharhaal khushi hai iski
Khaab raaghib to hue naql e makaani ki taraf
Jab fizaa uske badan-rang ki ho jaayegi
Ghaur se dekhenge ham apni jawaani ki taraf
Ham to ik umr hui apni taraf aa bhi chuke
Aur dil hai ki usi dushman e jaani ki taraf
Us se kahnaa ki dhuaan dekhne laayaq hogaa
Aag pahne hue jaaoonga main paani ki taraf
Dil wo dariya hai mire seena e khaali mein k ab
Dhyaan jata hi nahin jiski rawaani ki taraf
Uthne lagti hai mire jism se ik boo e firaaq
Raat dekhoon jo kabhi raat ki raani ki taraf

No comments:

Post a Comment