Samandar main utarta hoon tou aankhain bheeg jaati hain
teri aankhoun ko parhta hoon tou aankhain bheeg jaati hain
tumhaara naam likhney ki ijaazat chin gayi jub say
koi bhi lafz likhta hoon tou aankhain bheeg jaati hain
teri yaadoun ki khushboo khirkiyoun main raqs karti hay
teray gham main sulagta hoon tou aankhain bheeg jaati hain
main huns k jhail laita hoon judaayi ki sub hee rasmain
galey jub us k lagta hoon tou aankhain bheeg jaati hain
najaaney hogaya hoon isqadar hassaas main kub say
kisi say baat karta hoon tou aankhain bheeg jaati hain
woh sub guzrey huay lamhaat mujh ko yaad aatey hain
tumhaarey khut jo parhta hoon tou aankhain bheeg jaati hain
main saara din bohat masroof rehta hoon magar joonhi
qadam chaukhat pay rakhta hoon tou aankhain bheeg jaati hain
hur ik muflis k maathey par alam ki daastaanain hain
koi chehra bhi parhta hoon tou aankhain bheeg jaati hain
barey logoun k oonchey budnuma or sard mehloun ko
ghareeb aankhoun say takta hoon tou aankhain bheeg jaati hain
teray koochey say ab mera talluq waajibi sa hay
magar jub bhi guzarta hoon tou aankhain bheeg jaati hain
hazaaroun mausamoun ki hukmraani hay meray dil par
Wasi main jub bhi HUNSTA hoon tou aankhain bheeg jaati hain!!
No comments:
Post a Comment