Sunday 15 March 2015

Haath Khali Hain Tere Shehar Se Jaate Jaate

Haath Khali Hain Tere Shehar Se Jaate Jaate;
Jaan Hoti To Meri Jaan Lutate Jaate;
Ab To Har Haath Ka Pathar Humein Pehchanta Hai;
Umar Guzri Hai Tere Shehar Mein Aate Jaate!…

Yeh Hadasa To Kisi Din Guzarne Wala Tha

Yeh Hadasa To Kisi Din Guzarne Wala Tha;
Main Bach Bhi Jata To Ik Roz Marne Wala Tha;

Tere Salook Teri Aagahi Kee Umr Daraz;
Mere Aziz Mera Zakham Bharne Wala Tha;

Bulandiyon Ka Nasha Toot Kar Bikharne Laga;
Mera Jahaz Zameen Par Utarne Wala Tha;

Mera Naseeb Mere Haath Kaat Gaye Varna;
Main Teri Maang Mein Sindoor Bharne Wala Tha;

Mere Chirag Meri Shab Meri Munderein Hain;
Main Kab Shareer Hawaon Se Darne Wala Tha!…

Andhere Charon Taraf Taraf Sayein Sayein Karne Lage

Andhere Charon Taraf Taraf Sayein Sayein Karne Lage;
Chirag Haath Utha Kar Duayein Karne Lage;
Taraqi Kar Gaye Bimariyon Ke Saudagar;
Yeh Sab Mariz Hain Jo Ab Dawayein Karne Lage!…

Dil Se Na Pucho Ki Ander Dard Kitna Hai

Dil Se Na Pucho Ki Ander Dard Kitna Hai;
Dhadkan Se Na Pucho Ki Baki Khel Kitna Hai;
Puchna Hi Hai To Jalti Hui Laash Se Pucho;
Zindagi Mein Gham Aur Kafan Mein Chain Kitna Hai!…

Raat Ki Dhadkan Jab Tak Jaari Rehti Hai

Raat Ki Dhadkan Jab Tak Jaari Rehti Hai;
Sotey Nahi Hum, Zimmedari Rehti Hai;
Jabse Tuney Halki Halki Baatein Ki;
Yaar Tabiyat Bhaari Bhaari Rehti Hai! …

Dost Ho Kar Bhi Mahino Nahi Miltaa Mujhse

Dost Ho Kar Bhi Mahino Nahi Miltaa Mujhse;
Uss Se Kehna Ke Kabhi Zakhm Lagaane Aaye!…

Saturday 14 March 2015

Wo Kehti hai Suno Jana


"Wo Kehti hai Suno Jana
Mohabbat Moom Ka Ghar Hai
Tapish Bad Gumani Ki
Kahin Pighla Na De iss ko"

"Main Kehta Hoon
Jis Dil Main Zara B Badgumani Ho
Wahan Kuch Or Ho Tu Ho
Mohabbat Ho Nahi Sakti"

Wo Kehti Hai Sada Aisay Hi
Kaya tum Muj Ko Chaho Gaye
Keh Main Is Main Kami Koi Bhi
Gawara Ker Nahi Sakti"

"Main Kehta Hoon
Mohabbat Kaya Hai
Yeh Tum Nay sikhaya Hai
Mujay Tum Say Mohabbat K Siwa
Kuch Bhi Nahi Aata"


"Wo Kehti Hai
Judai Say Buht Darta Hai Mera Dil
Keh Khud ko Tum Say Hat Ker Dekhna
Mumkin Nahi Hai Ab"

Main Kehta Hoon
Yahi Khadshay Bohat Muj Ko satatay Hain
Mager Sach Hai Mohabbat Main"
Judai Saath Chalti Hai

"Wo Kehti Hai
Batao Kaya Mere Bin Ji Sako Gaye Tum
Meri Baatien,Meri Yaadien,Meri Ankhien
Bhula Do gaye?"

"Main Kehta Hoon
Kabhi iss Baat Per Socha Nahi Main Nay
Ager Ik Pal Ko B Sochon To
Saansien Ruknay Lagti Hain"


"wo Kehti Hai Tumhien Mujh Say
Mohabbat Is Qader Kyu Hai
Keh Main Ik Aam Si Larki
Tumhien Kyu Khaas Lagti Hoon"


"Main Kehta Hoon
Kabhi Khud Ko Meri Ankhon Say Tum Deikho
Meri Dewangi Kyu Hai
Yeh Kkhud He Jaan Jao Gi"

"Wo Kehti Hai
Mujay Warftgi Say Dekhtay Kyu Ho
Keh Main Khud Ko Bohat
Qeemti Mehsoos Krti Hoon"

"Main Kehta Hoon
Mata-E-Jaan Bohat Anmool Hoti Hai
Tumhien Jab Dekhta Hoon Zindagi
Mehsoos Krta Hoon"

"Wo Kehti Hai Mujay Alfaaz K Jugno Nahi Miltay
Keh Tumhien Bta SakUun
Keh Dil Main Mere
Kitni Mohabbat Hai"

"Main Kehta Hoon
Mohabbat To Niighaon Say Jhalkti Hai
Tumhari Khamosi Mujh Say
Tumhari Baat Karti Hai"

"Wo Kehti Hai
Batao Na Kis Ko Khonay Say Darte Ho
Batao Kon Hai Wo Jisay
Yeh Mosam Bulatay Hain"

"Main Kehta Hoon
Yeh Meri Shaayeri Hai Aiena Dil Ka
Zara Dekho Batao Kaya
Tumhien Is Main Nazar Aya"

"Wo Kehti Hai
Suno!!! Bohat Baatien Banatay Ho
Mager Sach Hai Yeh Baatien
Bohat Hi Shaad Rakhti Hain"

"Main Kehta Hoon
Yeh Sab Baatien Yeh Fasaany Ik Bahana Hain
Keh Pal Kuch Zindagani K
Tumhare Saath Kat Jayen
Phir Us K Baad Khamoshi Ka
Dilkash Raqs Hota Hai
Nigahein Bolti Hai Or
Lab Khamosh Rehtay Hain"

"Wo Kehti hai Suno Jana
Mohabbat Moom Ka Ghar Hai
Tapish Bad Gumani Ki
Kahin Pighla Na De iss ko"

Thursday 12 March 2015

Ye or Baat Teri Gali Main Na Aen Hum

Ye or Baat Teri Gali Main Na Aen Hum
Lekin Ye Kya,K Shehr Tera Chor Jaen Hum

Mudat Hui Hai Kou'e'Butan Ki Taraf Gae
Aawargi Se Dil Ko Kahan Tak Bachain Hum

Shayad Baqeet'e'Zeest Ye Sa'at Na A Sake
Tum Dastaan'e'Shouq Suno Aur Sunaen Hum

Be-Noor Ho Chuki Hai Buhut Shehr Ki Fiza
Tareek Raston Main Kahein Khoo Na Jaen Hum

Ab Aur Kia Kisi Se Marasim Barhain Hum
Yehi Buhut He Tujh Ko Agar Bhool Jaen Hum 

Sehra-E-Zindagi Main Koi Dosra Na Tha
Sunte Rahe Hain Aap Hi Apni Sadaen Hum

Is Zindagi Main Itni Faraght Kise Naseeb
Itna Na Yaad Aa Ke Tujhe Bhool Jaen Hum

Aaj Uske Baghair Ab To Buhut Jee Udass He
JALIB Chalo Kahin Se Use Dhoond Lain Hum

Wednesday 11 March 2015

kahin aah banke lab pe tera naam aa na jaaye

kahin aah banke lab pe tera naam aa na jaaye
tujhe bewafa kahun main woh maqaam aa na jaaye

zara khud ko sambhalo mera dil dhadak raha hai 
koi aur tair-e-dil tah-e-daaman aa na jaaye

jise soonke toot jaaye mera aarzoo bhara dil 
teri anjuman se mujhko woh payaam aa na jaaye

woh ke manzilon pe lakar kisi humsafar ko lootein 
inhi rehzahon mein tera kahin naam aa na jaaye

yeh mah-o-najoom hans lein mere aansuon pe 
mera mehtaab jab tak lab-e-baam aa na jaaye

Ye aur baat teri gali mein na aayen hum

Ye aur baat teri gali mein na aayen hum
lekin ye kya ki shahar tera chod jayen hum

muddat hui hai ku-e-butan ke taraf gaye
aavaragi se dil ko kahan tak bachayen hum

shayad baqaid-e-zist ye saat na aa sake
tum dastan-e-shauq suno aur sunayen hum

benur ho chuki hai bahut shahar ke faza
tarik raston mein kaheen kho na jayen hum

us ke bagair aj bahut jee udas hai
‘jalib’ chalo kaheen se use dhundh layen hum

uske baghair aaj bohot jee udas hai

uske baghair aaj bohot jee udas hai
jalib chalo kahin se use dhond lain hum

Is Dard Ki Duniya Se Guzar Kion Nahi Jate

Is Dard Ki Duniya Se Guzar Kion Nahi Jate 
Ye Log Bhi Kia Log Hain, Mar Kion Nahi Jate

Hai Kon Zamane Mein Mera Poochne Wala?? 
Nadaan Hain Jo Kehte Hain Ke Ghar Kion Nahi Jate..

Shouley Hain To Kion In Ko Bharakte Nahi Dekha?? 
Hain Khak To Rahon Mein, Bikhar Kion Nahi Jate…

Aansu Bhi Hain Aankhon Mein, Dua’in Bhi Hain Lab Par, 
Bigrey Hue Halaat, Sanwar Kion Nahi Jate….

Ae chaand yahan na nikla kar

Ae chaand yahan na nikla kar

Be-naam se sapne dekha kar

Yahan ulti ganga behti hai

Is des main andhay hakim hain

Na dartay hain , na naadim hain

Na logon ke woh khaadim hain

Hai yahan pe karobar bohat

Is des main gurday biktay hain

Kuch log hain aali shaan bohat

Aur kuch ka maqsad roti hai

Woh kehte hain sab acha hai

Maghrib ka raaj hi sacha hai

Ye des hain andhay logo ka

Ae chaand yahan na nikla kar !