Wednesday, 11 March 2015

kahin aah banke lab pe tera naam aa na jaaye

kahin aah banke lab pe tera naam aa na jaaye
tujhe bewafa kahun main woh maqaam aa na jaaye

zara khud ko sambhalo mera dil dhadak raha hai 
koi aur tair-e-dil tah-e-daaman aa na jaaye

jise soonke toot jaaye mera aarzoo bhara dil 
teri anjuman se mujhko woh payaam aa na jaaye

woh ke manzilon pe lakar kisi humsafar ko lootein 
inhi rehzahon mein tera kahin naam aa na jaaye

yeh mah-o-najoom hans lein mere aansuon pe 
mera mehtaab jab tak lab-e-baam aa na jaaye

No comments:

Post a Comment