Thursday 7 February 2013

aa kisi sham kisi yaad ki dehleez pe aa

http://farm3.static.flickr.com/2393/2181471350_ac22751f57.jpg

 aa kisi sham kisi yaad ki dehleez pe aa
umer guzri tujhay dekhay huay behlaye huay
yaad hay?
Ham tujhay dil mantay thay
Apnay seenay main machalta hua ziddi bacha
Teray har naaz ko ungli se pakar kar aksar
Nit naye khuab k bazaar main le aatay thay
Teray har nakhray ki farmaish par
Aik jeevan ki tamannaon ki beenai se ham
Dekhtay thaktay na thay
Sochtay thay
Aik chota sa naya ghar
Naya mahol
Mohabbat ki fiza
Ham dono
Aur kisi baat pe takiyon se larai apni
Phir larai main kabhi hanstay huay ro parna
Aur kabhi rotay huay hans parna
Aur thak haar kar gir parnay ka masoom khushi bakhsh khayal
Yaad hay?
Ham tujhay sukh jantay thay
Raat hans deti thi besakhta rawish se teri
Dil teri doori se ro parta tha
Yaad hay?
Ham tujhay jaan kaha kartay thay
Teri khamoshi se mar jatay
Teri aawaz se jee uthtay thay
Tujh ko choo lenay se ek zindagi aa jati thi
Sharyano main
Thaam lenay se koi shehr sa bas jata tha veerano main
Yaad hay?
Ham tujhay milnay k liye
Waqt se pehlay pohanch jatay thay
Aur mulaqat k baad
Ham bohat der se ghar aatay to kehtay k hamain
Kuch na kaho ham bohat duur se ghar aaye hain
Is qadar duur se ghar aaye hain k shayad he koi aaya ho
Yaad hay?
Ham tujhay Khuda samajhtay thay magar kufr se dar jatay thay
Teray chin janay ka dar theek se rakhta tha
musalman hamain
aa kisi sham kisi yaad ki dehleez pe aa
teray bhoolay huay raston pe liya phirta hay
emaan hamain
aur kehta hay k pehchan hamain
yaad hay ?
ham tujhay emaan kaha kartay thay”

 

 

No comments:

Post a Comment