Thursday 7 February 2013

Chalay jo ho to bata k jao


http://sphotos-a.xx.fbcdn.net/hphotos-ash4/c0.0.403.403/p403x403/304177_414202155321924_1635322573_n.jpg

Bicharne walay 
Bata k Jao ..
...Chalay jo ho to bata k jao
Keh kitni shaamein udaas aankhon main kaatni hein
Keh kitni subhain akelay pan mein guzaarni hein
Bata k jao 
Keh kitne sooraj azaab rastoon ko dekhna hai
Keh kitne mehtaab sard raatoon ki wusaton se nikaalne hein
Bata k jao 
keh chaand raatoon mein waqt kaise guzaarna hai
Khamosh lamhoon mein tujh ko kitna pukaarna hai
Bata k jao keh kitne lamhay shumaar karne hein hijr raton ke
Keh kitne mousam aik aik kar k judaiyon mein guzaarne hein
Bata k jao 
keh panchiyon ne akele pan ka sabab jo poocha
Tou kaya kahoon ga?
Bata k jao ..
main kis se tera gila karoon ga
Bichar kay tujh se habib..kis se mila karoon ga
Bata k jao 
keh aankh barsi to kon moti chuna karay ga
Udaas lamhon mein dil ki dharkan suna karay ga
Bata k jao 
k mousamon ko payam dene hein ya nahee hain
Fallk ko, taron ko, jugnuon ko SalaaM dene hein ya nahee hain
Bata k jao 
k kis pe hai aitebaar karna
To kis ki baaton pe be-niazi kay silsale ikhtiyar karna
Bata k jao 
k abb ravviyoon ki chaal kiya ho
Jawaab kiya ho, sawaal kiya ho
Arooj kiya ho, zawaal kiya ho
Nighah, rukhsaar, zulff, chehra ..nidhaal kiya ho
Bata k jao 
keh meri halat pe chandni khikhila pari to main kya karoon ga
Bata k jao 
k meri soorat pe teergi muskara parri tou
Main kiya karoon ga ?
Bata k jao k tum ko kitna pukaarna hai
Bicharr k tujh se ye waqt kaise guzaarna hai
Ujaarna hai ? 
nikhaarna hai ?
Chalay jo ho tou 
bata kay jao
           kay loutna bhi hai ya.............

No comments:

Post a Comment