Monday 4 March 2013

HAI DUA YAAD,MAGAR HARF-E-DUA YAAD NAHE

hai dua yaad magar HARF e DUA yaad nahi
meray naghmaat ko ANDAAZ e NAWA yaad nahi

hum ne jin k liye raahon mein bichaya tha laho
hum se kehtay hein wohi EHAD e WAFA yaad nahi

zindagi JABAR e MUSALSIL ki tarah kati hai
janay kiss jurm ki payi hai SAZA yaad nahi

mein ne palkon se DAR e YAAR pe dastak di hai
mein woh saa'el hon jissay koi sadaa yaad nahi

kaisay bhar ayee SIR e SHAAM kisi ki ankhein
kaisay tharayee chiragoon ki ziya yaad nahi

sirf dhundlaye sitaroon ki chamak dekhi hai
kab huw, kon huwa, kis se khafa yaad nahi

aao ek sajda karein ALAM e MADHOSHI mein
loug kehtay hein k *SAGIR* ko khuda yaad nahi

No comments:

Post a Comment