Wednesday 30 July 2014

Meri Ankhon Pe Marta Tha,

Meri Ankhon Pe Marta Tha,
Meri Baton Pe Hansta Tha,
Na Jaane Shakhs Tha Kaisa,
Mujhay Khone Se Darta Tha,
Mujhe Jab Bhi Wo Milta Tha,
Yahi Har Bar Kehta Tha,
"Suno",
Agar Main Bhool Jaun To,
Agar Main Rooth Jaun To,
Kabhi Wapis Na Aaoun To,
Bhula Pao Ge Yeh Sab Kuch Kya?
Younhi Hansti Raho Gi Kya?
Younhi Sajti Raho Gi Kya?
Yahi Baatain Hon Bas Uski,
Yahi Yaadain Hon Bas Uski,
Mujhy To Yaad Hai Itna,
Mujhy Wo Pyar Karta Tha,
Mujhy "Khone" Say Darta Tha


Monday 28 July 2014

Wese to nahin miltey, chalo kar lein bahana,

Wese to nahin miltey, chalo kar lein bahana,
Seeney se lag ke mere kaho Eid mubarak..

Wese to nahin miltey chalo kar lein bahana

Wese to nahin miltey, chalo kar lein bahana,
Seeney se lag ke mere kaho Eid mubarak..

Chaand eid ka dilkash hai janta hoon

Chaand eid ka dilkash hai janta hoon,
Hussn-e-janaan se magar haar jaye ga..

Chaand eid ka dilkash hai janta hoon

Chaand eid ka dilkash hai janta hoon,
Hussn-e-janaan se magar haar jaye ga..

Ghairon mein hain jo shaad unhe Eid Mubarak,

Ghairon mein hain jo shaad unhe Eid Mubarak,
Jin ko nahin hum yaad unhe Eid Mubarak,

Masoom se armaanon ki masoom si duniya,
Jo kar gaye barbaad unhe Eid Mubarak..

Ab To Mumkin Hi Nahi Un Se Mulaqat “Wasi”

Ab To Mumkin Hi Nahi Un Se Mulaqat “Wasi”

Ab To Urooj Pe Puhanchi Hai Uski Zaat “Wasi”

Wohi Wady Hain Aur Rasmon Ki Zanjiren Baqi

Kab Badalti Hain Zamany Ki Riwayat “Wasi”

Aik Wo Din Thy K Ek Dosry Ko Sochty Thy Hum

Ab Milty Nahi Dono K Khayalat “Wasi”

Meri Her Subha Ka Aghaz Tery Naam Se Ho

Teri Yadon Mai Kati Meri Her Aik Raat “Wasi”

Tum Kahan Aur Mery Piyar Ka Miyar Kahan

Wo Kitni Sadgi Se Ker Gaya Ye Baat “Wasi

Sunday 20 July 2014

Qu-ba-qu phail gayi baat shanasayee ki

Qu-ba-qu phail gayi baat shanasayee ki
Usne khushboo ki tarha meri pazeerayi ki

Kaise kehdoon ke mujhe chor diya hai usne
Baat to sach hai mager baat hai ruswayi ki

Usne jalti hu peshani pe jab haath rakha
Rooh tak aa gayi taseeh masihayi ki

Tera pehloo tere dil ki tarah abaad rahe
Tujhpe guzre na qayamat shab-e-tanhayi ki

Woh kahin bhi gaya lauta to mere paas aya
Bas yehi baat hai achi mere harjayi ki

Palat Ke Aa Gaye Hain Shaam Ke Parindey Bhi

Palat Ke Aa Gaye Hain Shaam Ke Parindey Bhi....""

Hamara Subah Ka Bhoola Magar Naheen Aaya...!!


Harf lafzon ki taraf lafz ma’aani ki taraf

Harf lafzon ki taraf lafz ma’aani ki taraf
Laut aaye sabhi kirdaar kahaani ki taraf
Hosh kho baitha tha main zardi e jaan se aur phir
Ik hawaa aayi uraa le gayi paani ki taraf
Pahle misre mein tujhe soch liya ho jisne
Jana partaa hai use misra e saani ki taraf
Dil mein ik shakhs ki ummid ka marna tha ki bas
DhaRkanein khinchne lagin marsiya-khaani ki taraf
Chashm e veeraan ko baharhaal khushi hai iski
Khaab raaghib to hue naql e makaani ki taraf
Jab fizaa uske badan-rang ki ho jaayegi
Ghaur se dekhenge ham apni jawaani ki taraf
Ham to ik umr hui apni taraf aa bhi chuke
Aur dil hai ki usi dushman e jaani ki taraf
Us se kahnaa ki dhuaan dekhne laayaq hogaa
Aag pahne hue jaaoonga main paani ki taraf
Dil wo dariya hai mire seena e khaali mein k ab
Dhyaan jata hi nahin jiski rawaani ki taraf
Uthne lagti hai mire jism se ik boo e firaaq
Raat dekhoon jo kabhi raat ki raani ki taraf

Chara'gar ay Dil-e-betaab kahan aaty hain

Chara'gar ay Dil-e-betaab kahan aaty hain

Mujh ko khush rehne k adaab kahan aaty hain.

Me to yak musht osay soonp dun sub kuch lekin.

Aik muthi mein mere khuwaab kahan aaty hain.

Mud'daton baad osay dekh k Dil bhar aya.

Warna seh'raon mein selaab kahan aaty hain.

Meri Be'dard nigahon mein agar bhooly se.

Neend aye bhi to ab khuwaab kahan aaty hain.

Tanha rehta hun me din bhar bhari duniya mein "Qateel"

Din bury hon to phir ehbaab kahan aaty hain.

Saturday 19 July 2014

Tuesday 15 July 2014

Kaha tha na k Youn Sotay Huway

Kaha tha na k Youn Sotay Huway
Mat Chhor Kay Jana
Mujhay Be_Shak Jaga Dena
Bata Dena!
Tumhein Rasta Badalna Hay
Meri Had Say Nikalna Hay

Tumhein Kis Baat Ka Darr Tha
Mein Tumhein Janay Nhi Deta
Kahin Pay Qaid Kar Leta

ARAY PAGAL !!!
Mohabbat Ki Tabiyat Mein
Zabardasti Nhi Hoti
Jisay Rasta Badalna Ho
Usay Rasta Badalnay Say
Jisay Had Say Nikalna Ho
Usay Had Say Nikalnay Say,
Na Koi Rok Paaya Hy,
Na Koi Rok Paaye Ga,
To Tumhein Kis Baat Ka Darr Tha
Mujhay Be_Shak Jaga Detay
Mein Tum Ko Dekhh Hi Leta
Tumhein Koi Dua Deta
Kam_Az_Kam Youn To Na Hota
Meray Saathi Yeh Haqeeqat Hay
Tumharay Baad Khonay Kay Liye Kuch B Nhi Baaki
Magar Mein Khonay Say Darrta Hoon
Mein Ab Sonay Say Darrta Hoon
Kaha tha na
K Youn Sotay Huway Chor K Mat Jana!"


Sunday 13 July 2014

Kuch yadgar-e-shehr-e-sitamgar hi le chalain

Kuch yadgar-e-shehr-e-sitamgar hi le chalain
Aaye hain is gali mein to Pathar hi le chlain

Youn Kis trha Katay ga Karri dhoop Ka safar?
Sar Per Khayal-e-yar Ki chaadar hi le chalain

Ranj-e-safar ki koi nishani to Pas ho
Thori c Khaak-e-Kocha-e-Dilbar hi le chalain

Ye Keh Ke chairti hai hamein Dil'giraftagi
Ghabra gaye hain Aap to bahir hi le chalain

Is shehr-e-be'charagh mein Jaye gi tu Kahan?
Aa Ay_shab-e-firaaq tujhe ghar hi le chalain


Mohsin Dil-e-Gareeb Ki Veeraniya’n To Daikh,

Mohsin Dil-e-Gareeb Ki Veeraniya’n To Daikh,

Kaisa Nagar Tha Jo Tere Hatho’n Ujar Gaya.


Saturday 12 July 2014

teri yaadoun ki khushboo khirkiyoun main raqs karti hay

Samandar main utarta hoon tou aankhain bheeg jaati hain 
teri aankhoun ko parhta hoon tou aankhain bheeg jaati hain 

tumhaara naam likhney ki ijaazat chin gayi jub say 
koi bhi lafz likhta hoon tou aankhain bheeg jaati hain 

teri yaadoun ki khushboo khirkiyoun main raqs karti hay 
teray gham main sulagta hoon tou aankhain bheeg jaati hain 

main huns k jhail laita hoon judaayi ki sub hee rasmain 
galey jub us k lagta hoon tou aankhain bheeg jaati hain 

najaaney hogaya hoon isqadar hassaas main kub say 
kisi say baat karta hoon tou aankhain bheeg jaati hain 

woh sub guzrey huay lamhaat mujh ko yaad aatey hain 
tumhaarey khut jo parhta hoon tou aankhain bheeg jaati hain 

main saara din bohat masroof rehta hoon magar joonhi 
qadam chaukhat pay rakhta hoon tou aankhain bheeg jaati hain 

hur ik muflis k maathey par alam ki daastaanain hain 
koi chehra bhi parhta hoon tou aankhain bheeg jaati hain 

barey logoun k oonchey budnuma or sard mehloun ko 
ghareeb aankhoun say takta hoon tou aankhain bheeg jaati hain 

teray koochey say ab mera talluq waajibi sa hay 
magar jub bhi guzarta hoon tou aankhain bheeg jaati hain 

hazaaroun mausamoun ki hukmraani hay meray dil par 
Wasi main jub bhi HUNSTA hoon tou aankhain bheeg jaati hain!! 



Friday 11 July 2014

Tuesday 8 July 2014

Sunday 6 July 2014

Masoom Shayari


Ishq Shayari


Andaaz apna dekhtay hain Aayene mein wo

Andaaz apna dekhtay hain Aayene mein wo
Aur ye bhi dekhtay hain koi dekhta na ho

Apni duwa mein sirf mujhe maangtay hain wo
Aur ye bhi maangtay hain koi mangta na ho

Mujh ko pata hy mujh say hi kertay hain pyar wo
Phir bhi na jaane kehnay say kyun dar rahay hain wo

Har lamha meray barey mein hi sochtay hain wo
Aur ye bhi sochtay hain koi sochta na ho

Bus mujh ko Dil-o-Jan say hi chahtay hain wo
Aur ye bhi chahtay hain koi chahta na ho


Saturday 5 July 2014