Suna
Hai Log Use Aankh Bhar Ke Daikhte Hain
So
Uss Ke Shehar Main Kuch Din Thehar Ke Daikhte Hain
Suna
Hai Rabt Hai Uss Ko Kharaab Haalon Se
So
Apne Aap Ko Barbaad Kar Ke Daikhte Hain
Suna
Hai Dard Ki Gaahak Hai Chashm E Naaz Uss Ki
So
Ham Bhi Uss Ki Gali Se Guzar Ke Daikhte Hain
Suna
Hai Uss Ko Bhi Hai Shair O Shairi Se Shughaf
So
Ham Bhi Mo'jaze Apne Hunar Ke Daikhte Hain
Suna
Hai Bole To Baaton Se Phool Jhadte Hain
Yeh
Baat Hai To Chalo Baat Kar Ke Daikhte Hain
Suna
Hai Raat Usse Chand Takta Rehta Hai
Sitare
Baam E Falak Se Utar Ke Daikhte Hain
Suna
Hai Din Ko Usse Titliyaan Satati Hain
Suna
Hai Raat Ko Jugnoo Guzar Ke Daikhte Hain
Suna
Hai Hashr Hain Uss Ki Ghazaal Si Aankhain
Suna
Hai Uss Ko Hiran Dasht Bhar Ke Daikhte Hain
Suna
Hai Raat Se Badh Kar Hain Kaakulain Uss Ki
Suna
Hai Shaam Ko Saae Guzar Ke Daikhte Hain
Siyaah
Chashm To Daikhe Hain Par Na Aise Bhi
Ke
Uss Ko Surma Farosh, Aah Bhar Ke Daikhte Hain
Suna
Hai Uss Ke Labon Se Gulaab Jalte Hain
So
Ham Bahaar Pe Ilzaam Dhar Ke Daikhte Hain
Suna
Hai ,Aa'i'na Tamsaal Hai Jabeen Uss Ki
Jo
Saada Dil Hain Usse Ban Sanvar Ke Daikhte Hain
Suna
Hai Jab Se Hama'il Hain Uss Ki Gardan Main
Mizaj
Aur Hi Laal O Guhar Ke Daikhte Hain
Suna
Hai Chashm E Tasavvur Se Dasht-E-Imkaan Main
Palang
Zaviye Uss Ki Kamar Ke Daikhte Hain
Suna
Hai Uss Ke Badan Ki Taraash Aisi Hai
Ke
Phool Apni Qaba'ain Katar Ke Daikhte Hain
Voh
Sarv Qad Hai Magar Be-Gul-E-Muraad Nahin
Ke
Uss Shajar Pe Shagoofe Samar Ke Daikhte Hain
Nazar
Uththe To Yeh Samjho Ke Deen O Dil To Gae
So
Rahravaan-E-Tamanna Bhi Dar Ke Daikhte Hain
Suna
Hai Uss Ke Shabistan Se Mut'tasil Hai Bahisht
Makeen
Udhar Ke Bhi Jalve Idhar Ke Daikhte Hain
Ruke
To Gardishain Uss Ka Tavaaf Karti Hain
Chale
To Uss Ko Zamane Thehar Ke Daikhte Hain
Kise
Naseeb Ke Be-Pairahan Use Daikhe
Kabhi
Kabhi Dar O Deevaar Ghar Ke Daikhte Hain
Kahaniyaan
Hi Sahi ,Sab Mubalighe Hi Sahi
Agar
Voh Khavaab Hai ,Tabeer Kar Ke Daikhte Hain
Ab
Uss Ke Shehr Main Tehrain Ke Kooch Kar Jaaen
Faraz
Aao Sitare Safar Ke Daikhte Hain