Friday, 2 May 2014

Suna Hai Log Use Aankh Bhar Ke Daikhte Hain

Suna Hai Log Use Aankh Bhar Ke Daikhte Hain
So Uss Ke Shehar Main Kuch Din Thehar Ke Daikhte Hain

Suna Hai Rabt Hai Uss Ko Kharaab Haalon Se
So Apne Aap Ko Barbaad Kar Ke Daikhte Hain

Suna Hai Dard Ki Gaahak Hai Chashm E Naaz Uss Ki
So Ham Bhi Uss Ki Gali Se Guzar Ke Daikhte Hain

Suna Hai Uss Ko Bhi Hai Shair O Shairi Se Shughaf
So Ham Bhi Mo'jaze Apne Hunar Ke Daikhte Hain

Suna Hai Bole To Baaton Se Phool Jhadte Hain
Yeh Baat Hai To Chalo Baat Kar Ke Daikhte Hain

Suna Hai Raat Usse Chand Takta Rehta Hai
Sitare Baam E Falak Se Utar Ke Daikhte Hain

Suna Hai Din Ko Usse Titliyaan Satati Hain
Suna Hai Raat Ko Jugnoo Guzar Ke Daikhte Hain

Suna Hai Hashr Hain Uss Ki Ghazaal Si Aankhain
Suna Hai Uss Ko Hiran Dasht Bhar Ke Daikhte Hain

Suna Hai Raat Se Badh Kar Hain Kaakulain Uss Ki
Suna Hai Shaam Ko Saae Guzar Ke Daikhte Hain

Siyaah Chashm To Daikhe Hain Par Na Aise Bhi
Ke Uss Ko Surma Farosh, Aah Bhar Ke Daikhte Hain

Suna Hai Uss Ke Labon Se Gulaab Jalte Hain
So Ham Bahaar Pe Ilzaam Dhar Ke Daikhte Hain

Suna Hai ,Aa'i'na Tamsaal Hai Jabeen Uss Ki
Jo Saada Dil Hain Usse Ban Sanvar Ke Daikhte Hain

Suna Hai Jab Se Hama'il Hain Uss Ki Gardan Main
Mizaj Aur Hi Laal O Guhar Ke Daikhte Hain

Suna Hai Chashm E Tasavvur Se Dasht-E-Imkaan Main
Palang Zaviye Uss Ki Kamar Ke Daikhte Hain

Suna Hai Uss Ke Badan Ki Taraash Aisi Hai
Ke Phool Apni Qaba'ain Katar Ke Daikhte Hain

Voh Sarv Qad Hai Magar Be-Gul-E-Muraad Nahin
Ke Uss Shajar Pe Shagoofe Samar Ke Daikhte Hain

Nazar Uththe To Yeh Samjho Ke Deen O Dil To Gae
So Rahravaan-E-Tamanna Bhi Dar Ke Daikhte Hain

Suna Hai Uss Ke Shabistan Se Mut'tasil Hai Bahisht
Makeen Udhar Ke Bhi Jalve Idhar Ke Daikhte Hain

Ruke To Gardishain Uss Ka Tavaaf Karti Hain
Chale To Uss Ko Zamane Thehar Ke Daikhte Hain

Kise Naseeb Ke Be-Pairahan Use Daikhe
Kabhi Kabhi Dar O Deevaar Ghar Ke Daikhte Hain

Kahaniyaan Hi Sahi ,Sab Mubalighe Hi Sahi
Agar Voh Khavaab Hai ,Tabeer Kar Ke Daikhte Hain

Ab Uss Ke Shehr Main Tehrain Ke Kooch Kar Jaaen
Faraz Aao Sitare Safar Ke Daikhte Hain

No comments:

Post a Comment