Nikaala
Mujh Ko Jannat Se Fareb-E-Zindagi De Kar
Diya
Phir Shauq Jannat Ka, Yeh Hairaani Nahi Jaati
********
Na
Tu Khuda Hai, Na Ishq Mera Farishton Jaisa
Dono
Insaan Hain To Kyun Itne Hijaabon Me Milen
********
Yun
Hi Mausam Ki Ada Dekh Kar Yaad Aaya
Kis
Qadar Jald Badal Jaate Hain Insan Janaan
********
Main
Hurf Hurf Haqeeqat, Main Warq Warq Sachcha
Magar
Shart Hai Mujhe Ghaur Se Padho Janaan
**********
Unko
Bhoole Hain To Kuch Aur Preshaan Hai Faraaz
Apni
Daanist Mein Dil Ne Bahut Daanai Ki
**********
Aie
Dil Apne Masiha Se Bhi Umeed Na Rakh
Woh
Tangdil Hai Tere Zakhm Ki Gehraai Bahut
**********
Kathin
Hai Raah Guzar Thodi Der Saath Chalo
Bahut
Kada Hai Safar Thodi Der Saath Chalo
Tamaam
Umar Kahaan Koi Saath Deta Hai
Main
Jaanta Hun Magar Thodi Der Saath Chalo
**********
Aa
Keh Ab Tasleem Karen Tu Nahi To Main Sahi
Kaun
Maanega Keh Ham Donon Mein Be-Wafa Koi Nahi
**********
Ab
To Mujh Ko Bhi Nadamat Hai Apni Wafa Pe
Mukhtalif
Kitna Zamaane Se Chalan Mera Tha
**********
Firaaq-E-Yaar
Qayaamat Se Kam Nahi Faraaz
Na
Din Ko Chain Aata Hai Na Raaton Ki Neend Aati Hai
**********
Kisi
Be-Wafa Ki Khaatir Yeh Junun Faraaz Kab Tak
Jo
Bhula Chuka Hai Tum Ko Use Tum Bhi Bhool Jaao
**********
Aise
Jeene Se To Behtar Tha Ke Mar Hi Jaate
Chaarah-Gar
Muft Mein Hum Ne Tera Ehsaan Liya
**********
Mujhe
Wafa Ki Talab Hai Magar Har Ek Se Nahi
Koi
Mile Magar Us Yaar-E-Bewafa Ki Tarha
Woh
Ajnabi Tha To Kyun Mujhe Se Pher Kar Aankhe
Guzar
Gaya Kisi Daireena Aashna Ki Tarha
**********
Woh
Laakh Zood Faraamosh Tha Faraaz Magar
Use
Bhi Mujh Ko Bhulaane Mein Ek Zamaana Laga
**********
Yunhi
Mausam Ki Ada Dekh Ke Yaad Aaya Hai
Kis
Qadar Jald Badal Jaate Hain Insaan Jaanaan
Dil
Yeh Kehta Hai Keh Shaayad Ho Afsurda Tu Bhi
Dil
Ki Kya Baat Karen Dil To Hai Naadaan Jaanaan
**********
Aie
Khuda Jo Bhi Mujhe Pind-E-Shakeebaai De
Us
Ki Aankhon Ko Mere Zakhm Ki Gehraai De
Itna
Be-Sarfa Naa Jaaye Mere Ghar Ka Jalna
Chasham-E-Girya
Na Sahi Chasham-E-Tamashaai De
**********
Samjha
Rahe The Mujh Ko Sabhi Naasehaan-E-Shehar
Phir
Rafta Rafta Khud Usi Kaafir Ke Ho Gaye
**********
Har
Ek To Zaa'um Tha Kis Kis Ko Naakhuda Kehte
Bhala
Hua Keh Safeena Kinaare Jaa Na Laga
**********
Kuch
Yeh Ke Muddaton Se Ham Bhi Nahi The Roye
Kuch
Zehar Mein Bujha Tha Ehbaab Ka Dilaasa
**********
Woh
Zindagi Ho Keh Duniya Faraaz Kya Kijiye
Jis
Se Ishq Karo Be-Wafa Nikalti Hai
**********
Safar
Taweel Sahi Guftagu Maze Ki Rahi
Woh
Khush Mizaj Agar Tha To Meer Main Bhi Na Tha
**********
Woh
Jis Ghamand Se Bichada Gila To Is Ka Hai
Keh
Saari Baat Mohabbat Mein Rakh Rakhaao Ki Thi
**********
Zabt
Laazim Hai Magar Dukh Hai Qayaamat Ka Faraaz
Zaalim
Ab Ke Bhi Naa Roye Gaa To Mar Jaaye Ga
**********
Bas
Itna Farq Hai Yusuf Mein Aur Mujh Mein Faraaz
Keh
Us Ko Ghair Mujhe Yaar Bech Dete Hain
**********
Hum
Mohabbat Mein Bhi Tauheed Ke Qaayel Hain Faraaz
Ek
Hi Shakhs Ko Mehboob Banaaye Rakhna
**********
Na
Shab-O-Roz Hii Badlen Hain Na Haal Acchaa Hai
Kis
Birahman Nain Kaha Thaa Ki Yeh Saal Accha Hai
**********
Karoon
Na Yaad Magar Kis Tarah Bhulaaun Usay
Ghazal
Bahaana Karoon Aur Gungunaaun Usay
**********