Roz
Jab Dhoop Pahadon Say Utarnay Lagti
Koi
Ghat'ta Hua Badhata Hua Bekal Saaya
Aik
Deewar Se Kehta Keh Merey Saath Chalo
Aur
Zanjeer-E-Rafaqat Se Gurezaan Deewar
Apnay
Pindaar Ke Nashe Main Sada Eistaada
Khuwahish-E-Humdam-Dairina
Pe Hans Deti Thi
Kaun
Deewar Kissi Saaye Ke Hamaraah Chali
Kaun
Deewar Hamaisha Magar Eistaada Rahi
Waqt
Deewar Ka Saathi Hai Na Saaye Ka Rafeeq
Aur
Ab Sang-O-Gil-O-Khisht Kay Malbay Ke Tale
Usi
Deewar Ka Pindar Hai Rezah, Rezah
Dhoop
Nikli Hai Magar Jane Kehaan Hai Saaya
No comments:
Post a Comment