Jis
Simt Bhi Dekhoon, Nazar Aata Hai Keh Tum Ho
Aie
Jaan-E-Jahaan Yeh Koi Saaya Hai Keh Tum Ho
Yeh
Khuwaab Hai, Khushboo Hai, Ke Jhonka Hai, Ke Pal Hai
Yeh
Dhund Hai, Baadal Hai, Ke Saaya Hai, Keh Tum Ho
Is
Deed Ki Saa'at Main Kayee Rung Hain Larzaan
Main
Hoon Ke Koi Aur Hai, Duniya Hai, Keh Tum Ho
Dekho
Yeh Kisi Aur Ki Aankhen Hain Ke Meri
Dekhoon
Yeh Kisi Aur Ka Chehra Hai Keh Tum Ho
Yeh
Umr Garezaan Kahin Theray To Yeh Jaanoon
Her
Saans Mein Mujh Ko Yehi Lagtaa Hai Keh Tum Ho
Her
Bazm Mein Mozoo-E-Sukhan Dil-E-Zadgaan Ka
Ab
Kaun Hai Sheereen Keh Laila Hai Keh Tum Ho
Ek
Dard Ka Phaila Hua Sehra Hai Ke Main Hoon
Ek
Mauj Mein Aaya Hua Darya Hai Keh Tum Ho
Woh
Waqt Na Aaye Ke Dil-E-Zaar Bhi Sochay
Is
Shehr Mein Tanha Koi Tum Sa Hai Keh Tum Ho
Aabaad
Hum Aashufta Saron Se Nahin Maqtal
Yeh
Rasm Abhi Shehr Mein Zinda Hai Keh Tum Ho
Aie
Jaan-E-Faraaz Itni Bhi Taufeeq Kise Thee
Hum
Ko Ghame Hasti Bhi Gawaraah Hai Keh Tum Ho
No comments:
Post a Comment