Friday, 2 May 2014

Yeh Tabi'aat Hai To Khud Aazaar Ban Jaayen Ge Ham

Yeh Tabi'aat Hai To  Khud Aazaar Ban Jaayen Ge Ham
Chaaragar Royein Ge Aur Gham Khwaar Ban Jaayen Ge Ham

Ham Sar-E-Chaak-E-Wafaa Hain Aur Tira Dast-E-Hunar
Jo Bana De Ga Hamein Aie Yaar, Ban Jaayen Ge Ham

Kya Khabar Thi Aie Nigaar-E-She'r, Tere Ishq Mein
Dilbaraan-E-Sheh'r Ke Dildaar Ban Jaayen Ge Ham

Sakht Jaan Hain Par Hamaari Ust'vaari Par Na Ja
Aise Tootenge, Tira Iqraar Ban Jaayen Ge Ham

Aur Kuchh Din Baithne Do Ku-E-Jaanaan Mein Hamein
Raftaa Raftaa Saaya-E-Deewar Ban Jaayen Ge Ham

Is Qad'r Aasaan Na Hogi Har Kisi Se Dosti
Aashnaa'i Mein Tira May'aar Ban Jaayein Ge Ham

Meer-O-Ghalib Kya Keh Ban Paaye Naheen Faiz-O-Firaaq
Za'm Ye Tha Roomi-O-Ataar Ban Jaayein Ge Ham

Dekhne Mein Shaakh-E-Gul Lagte Hain Lekin Dekhnaa
Dast-E-Gulcheen Ke Liye Talwaar Ban Jaayein Ge Ham

Ham Chiraagon Ko To Taa'reeki Se Larhnaa Hai Faraaz
Gul Huay Par Subah Ke Aasaar Ban Jaayein Ge Ham


No comments:

Post a Comment