Ranjish
Hi Sahi, Dil Hi Dukhaane Ke Liye Aa
Aa
Phir Se Mujhe Chod Ke Jaane Ke Liye Aa
Phele
Se Maraasim Na Sahi, Phir Bhi Kabhi To
Rasm-O-Rahe
Duniya Hi Ninbhaane Ke Liye Aa
Kis
Kis Ko Bataayenge Judaai Ka Sabab Hum
Tu
Mujh Se Khafa Hai To Zamaane Ke Liye Aa
Ab
Tak Dil-E-Khush Faham Ko Hai Tujh Se Umeedein
Yeh
Aakhri Shame Bhi Bhujaane Ke Liye Aa
Kuch
To Mere Pindar-E Mohabbat Ka Bharm Rakh
Tu
Bhi To Kabhi Mujh Ko Manaane Ke Liye Aa
Ek
Umar Se Hun Lazzat-E-Girya Se Bhi Mehroom
Aie
Raahat-E-Jaan, Mujh Ko Rulaane Ke Liye Aa
No comments:
Post a Comment