Qurbaton
Mein Judaai Ke Zamaane Maange
Dil
Woh Be-Mehar Hai Keh Rone Ke Bahaane Maange
Hum
Na Hote To Kisi Aur Ke Charche Hote
Khalqat-E-Shehar
To Kehne Ko Fasaane Maange
Yehi
Dil Tha Ke Tarasta Tha Maraasim Ke Liye
Ab
Yehi Tark-E-Taa-Aluq Ke Bahaane Maange
Apna
Yeh Haal Ke Ji Haar Chuke Lut Bhi Chuke
Aur
Mohabbat Wohi Andaaz Puraane Maange
Zindagi
Hum Tere Daaghon Se Rahe Sharminda
Aur
Tu Hai Ke Sada Aaina-Khaane Maange
Dil
Kisi Haal Pe Qaane Nahi Aie Jaan-E-Faraaz
Mil
Gaye Tum Bhi, To Kya Aur Na Jaane Maange
No comments:
Post a Comment